(1) : HAZRATE SAYYEDUNA NO'MAN BIN BASHIRرِضِیَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ SE RIVAYAT HAI
ki shehan shahe Madina qarare qalbo Seeena, sahibe mua'ttar pasina baise nujule Sakina, feze ganjina صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَيهِ َوَسَلَّم ne farmaya : Allahعزجل ne zameen ve Aasman ko peda karne se do hazaar saal pehle ek kitaab likhi phir usme se suraye bakrah ki Aakhiri do Ayate naazil famayi !jis ghar me teen raate in do Ayato ko Pada jayega shetan us ghar ke karib na Aayega!
(sunanutirmizi, jild 4.safha 404,hadees 2891)
(2) : HAZRATE SAYYEDUNA ABU ZAR رَضِيَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ SE RIVAYAT HAI
noor ke pekar,nabiyo ke sarvar, do jaha ke tajvar bahro bar صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم ne farmaya : beshak Allah عزوجل ne muje Apne Arsh ke niche ke khazane me se esi do Ayate Ata farmayi jin ke zariye suraye bakrah ka intekhab farmaya, inhe seekho Aur Apni Aurto Aur bacho ko sikhao beshak yeh namaz Aur Qur'an Aur dua hai !
(mustdark lil haakim jild 2safha 268, hadees 2110)
(3) : HAZRATE SAYYEDUNA ABU MASUOOD رَضِيَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ SE RIVAYAT HAI
huzoore pak sahibe lolaak, sayyahe aflaak صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ َسَلَّم ne farmaya : Jo shakhs suraye bakrah ki Aakhiri do Ayate raat me padega woh use kifayat karegi !
(sahihul Bukhari jild 3,safha 405, hadees : 5009)
MITHE MITHE ISLAMI BHAIYO ! suraye bakrah ki do Ayaten kifayat karne se murad yeh hai ki yeh do Ayaten uske us raat ke qiyam ( raat ki ibadat) ke qayim maqam ho jayegi ya us raat use shetan se mehfuz rakhegi ! ek qaul yeh bhi hai ki us raat me naazil hone wali Afat se bachayegi وَللّٰهُ تَعَا لٰی اعلَم
fathul baari, jild 9 safha 48)
صَلُّو اعَلَی الحَبِیب صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی مُحَمَّد
http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com/
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon