MUSTAFA KI 5HURUF KI NISBAT SE SOTE WAQT PADE JANE WALE 5 WAZAIF AUR ISKE PADNE KI BARKATE

MUSTAFA" KE 5 HURUF KI NISBAT SE SOTE WAQT PADE JANE WALE 5 WAZAIF AUR ISKE PADNE KI BARKATE



(1) hazrate sayyiduna anas رَضِيَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ se marvi ki noor ke pakar,tamaam nadiyo ke sarvar, do jaha ke tajvar, sultane behro bar صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم  ne farmaya : jab tum Apna pehlu bistar par rakh kar suraye fatiha Aur 
قُل هُوَاللّٰهُ اَحَد (puri surat )pad loge to mout ke waqt ilawa har cheez se Amaan me Aa jayoge !
(majmauzzavaid jild 10, safha 105,hadees :17040) 





(2)  hazrate sayyiduna irbaaz bin saariya رَضِيَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ  se marvi hi ki husne Akhlaq ke pekar, nabiyo ke taaj var, mehbube rabbe Akbar صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَيهِ وَسَلَّم sone se pehle musabbihaat Pada karte the Aur farmaya karte ki in me ek aisi Ayat hai Jo hazaar Ayato se behtar hai
(sunano abi davud, jild 4,safha 408,hadees : 5057 )






hakimul ummat hazrate mufti Ahmad yaar khanعَلَيهِ رَحمَةُ الحَنَّان is hadeese pak ke tehet farmate hai: yeh ( ya'ni musabbihat) surate qul sath hai suraye Asra, suraye hadid, suraye hashr, suraye saf, suraye jumua, suraye tagabun Aur Aa'la zaahir hai ki sarkar ( صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم ) puri surat na padte honge ki yeh bohot ziyada hai balki in ki chida chida Ayat tilavat farmate honge !
(mir Aatul manajeeh, jild 3, safha 247)






(3) hazrate sayyiduna nofil رَضِيَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ
farmate hai ki nabiye mukarram, noore mujassam, rasoole Akram, shehan shahe bani Adam صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم ne mujse farmaya
قُل يٰآاَيُّهَاالڪٰفِرُون
puri padkar soya karo Qki yeh shirk se bara at hai!
sunano Abi davud, jild 4, safha 407,hadees 5055)






(4) hazrate sayyiduna Abu sayid khudriرَضِيَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ  se marvi hai ki khatimul mursalin, rehmatullil Alameen, shafiul muznabin, Anisul garibin, sirajussakilin, mehbube rabbul Alamein, janabe sadiqo Ameeen صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم ne faramaya  : Apne bistar par Aate waqt teen martaba  yeh padle :
اَستَغفِرُ اللّٰهَ العَظِيمَ الَّذِی لَااِلٰهَ هُوَالحَیُّ القَیُّم وَاَتُوبُ اِلَيه
(tarjama: me Allahعَزَّوَجَل  se bakhshish chahta hu jiske Siva koi ma'bud nahi woh zinda Aur qaim raakhne wala hai Aur me usi ki taraf ruju'a karta hu!) Allah taa'la uske gunah bakhsh deta hai Agarche samundar ki jhag me barbar ho, Agarche darakhto ke patto ke barbar ho, Agarche tilo ki ret ke zarrat ke barabar ho, Agarche dunya ke Ayyam ke barabar ho !
(sunanut tirmizi, jild 5,safha 255,hadees 3408)










(5) niche di hui suraye kehef ki Aakhiri char Ayate ya'ni اِنَّ الَّذِينَ اٰمَنُوا se khatm surat tak raat me ya subha jis waqt jaagne ki niyyat se pade Aankh khulegi اِن شآءَاللّٰه عَزَّوَجَل )




http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com

Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment