NAMAZE JANAZA KA TARIKA -HANFI

NAMAZE JANAZA KA TARIKA (hanafi)

====================================

post 01



 VALI KE JANAZE KI NAMAZ ME SHIRKAT KI BARKAT  

Ek shakhs Hazrate Sayyeduna Sari Sakhti رحمة الله تعالي عليه ke Janaze me sharik hua. Raat ko khwab me Hazrate Sayyeduna Sari Sakhti رحمة الله تعالي عليه ki ziyarat huyi to poocha ﻣﺎ ﻓﻌﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﺑﻚ ? yaa'ni Allah عزوجل ne Aapke saath kya mua-mala farmaya ? jawab diya, Allah عزوجل meri aur mere Janaze me sharik hokar Namaze Janaza padhne walon ki Magfirat farma di. Usne arz ki, Ya Sayyidi ! maine bhi Aapke Janaze me sharik hokar Namaze Janaza padhi thi. To Aapne ek feharist nikali magar us shakhs ka naam shamil na tha, jab gaur se dekha to uska haashiye par maujud tha.

Ref:  Sharhus Sudoor, S: 279, Darul Kutubul ilmiyya Bairut
    
📚 Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 372 Maktabatul Madina, Gujarat 

✒ Author : Hazrat A’llama Mualana Abu Bilal Muhammad Ilyaas Attar Qadiri Razavi               

📇 Published By : Makataba-tul-Madina, Gujarat


(Agar likhne me kisi bhi jagah kami beshi paye to hamari Islah farmaye, 

http://www.hindimesawaljawab.blogspot.com
Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment