AYATUL KURSI KE 4 FAZAYL

(1) :Hadees sharif me hai ki yeh Aayat qur'ane Majeed ki Ayato me bahut hi Azmat wali hai!
(addurrul Mansur jild 2,safha 6)




(2) hazrate sayyeduna bin ka'b رَضِيَ اللّٰهُ تَعَا لٰی عَنهُ se rivayat hai 

ki husne Akhlaq ke pekar, nabiyo ke taajvar, mehbube rabbe Akbar صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم ne farmaya: Ae Abu munzir ! kya tumhe maa'lum hai  qur'ane pak ki Jo Ayate tumhe yaad hai unme kaunsi Ayat Azeem hai ? mene Arz kiya :اللّٰهُ لآاِلٰهَ الَّاهُوَاَلحَیُّ القَیُّم
phir Rasoolullah صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم ne mere seene par hath Mara Aur farmaya:
 Ae Abu munzir! tumhe ilm mubarak ho!
 ( sahi muslim safha 405,hadees : 810)








(3) mustdark ki ek rivayat me hai

 ki suraye bakrah me ek Ayat hai Jo qur'ane pak ki tamam Ayato ki sardar hai, woh Ayat jis ghar me padi jaye us ghar se shetaan nikal jata hai Aur woh Ayatul kursi hai !

(mustdark lil hakim, jild 2safha 447, hadees 3080) 





(4) Amirul mominin hazrate Ali ڪَرَّمَ اللّٰهُ وَجهَهُ الڪَرِيم farmate hai 

ki noor ke pekar, tamam nabiyo ke sarvar do jahan ke taajvar, sultane bahro bar صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَيهِ وَسَلَّم ko mimbar par farmate hue suna Jo shakhs har namaz ke ba'ad Ayatul kursi pade use jannat me dakhil hone se mout ke siwa koi chiz nahi rokti Aur Jo koi rat ko sote waqt ise padega Allahعزوجل use, us ke ghar ko Aur Aas paas ke gharo ko mehfuz farma dega
 ( shu abul iman jild 2safha, 458, hadees : 2395) 

صَلُّواعَلَی الحَبِیب ۱ صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلٰی مُحَمَّد
http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com/
Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment