( 1) : KHUSH
NASEEB KOUN?
Hazrate sayyiduna Abu hurera رضي الله
تعالى عنه se rivayat hai unhone Arz ki : ya rasoolallah ! صلى الله تعالى عليه وسلم qiyamat ke Din Aap صلى الله
تعالى عليه وسلم ki shafa`ata se behro mand hone wale khush naseeb log koun
honge? Farmaya : Ae Abu hurera ! mera guman yahi tha ki tumse pehle mujse yeh
bat koi na punchega kyun ki mein hadees sunne ke muamle mein tumhari hirs ko
janta hun, qiyamat ke din meri shafa`at pane wala khush naseeb woh hoga jo sidqe Dil se ` لاَ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ` kahega !
( sahihul bukhari, jild 1, safha 53, hadees : 99 )
( 2) : AFZAL ZIKR VE DUA
Hazrate sayyiduna jabir رضي الله
تعالى عنه farmate hai : mene shehan shahe madina,
karare qalbo seena, sahibe muattar paseena, baise nujule sakina, faiz ganjina صلى الله تعالى عليه وسلم ko farmate hue suna : sabse Afzal zikr لاَ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ` ` hai Aur sabse Afzal dua اَلحَمدُ لِلّٰهِ` hai
( sunano ibne majah, jild 4 safha 248, hadees: 3800)
(3) ; AASMANO KE DARWAZE KHUL JATE HAI
Hazrate sayyiduna Abu hurera رضي الله
تعالى عنه se rivayat hai ki noor ke pekar tamam nabiyon
ke sarvar, do jaha ke tajvar, sultane behro bhar صلى الله
تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya: jis bande ne ikhlas ke
sath لاَ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ` kaha to Aasmanon ke darwaze khol diye jate hain, yaha tak ki woh Arsh tak pahunch jata hai jab ki kabira gunahon se bachta rahe !`
( sunanuttirmizi, jild 5, safha 340, : hadees 3601 )
(4) TAJDIDE IMAAN
Hazrate sayyiduna رضي الله
تعالى عنه se rivayat hai ki sayyidul murasalin rahmatullil Aalamin صلى الله
تعالى عليه وسلم ne farmaya :
Apne iman ki tajdid kar liya karo ! Arz kiya gaya : ya rasoolallah صلى الله تعالى عليه وسلم
ham Apne iman ki tajdid kese kiya karein? Farmaya : لاَ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ`kasrat se padha karo !
( musnad lil Imam Ahamd bin hambal, jild 3, safha 281, :
hadees 8781 )
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon