; AHAD; KE TEEN HURUF KI NISBAT SE KALIMAYE TOHID KE TEEN FAZAIL
(1)
Hazrate sayyiduna
Abu umama رضي الله
تعالى عنه se rivayat hai ki khatimul mursalin,
rahmatullil Aalameen janabe sadiqo Ameen
صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya : jisne
(TARJAMA: Allah ke siwa koi ma`bud nahi woh Akela hai
uska koi sharik nahi usi ke liye hai badshahi Aur usi ke liye hai hamd Aur wo
har cheez par qadir hai !_) kaha to is kalime se koi Amal Aage na badh sakega
Aur uske sath koi gunah baqi na rahega !
(majmaujjawaid , jild 10,
safha 94, hadees: 16824)
(2)
Hazrate sayyiduna
Amr bin shoaib رضي الله
تعالى عنه ba vasita valid Apne dada se rivayat karte
hain ki shehan shahe khush khisaal,
pekare husno Jamaal, dafaye ranjo malal, sahibe judo navaal, rasoole be misaal
bibi Aamina ke lal صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya behtrin dua yome Arfa ki dua hai
Aur sabse behtar kalima jo mene Aur mujse pehle ke Ambiya عليه السلام ne kaha ( woh ye
hai )
(3)
Hazrate sayyiduna bara bin Aazib رضي الله
تعالى عنه se rivayat hai ki
sarkare wala tabaar, ham kaso ke madadgar, صلى الله
تعالى عليه وسلم ne farmaya:
jisne chandi ya dudh sadqa kiya ya Andhe ko rasta bataya to yeh ek gulam Azaad
karne ki tarah hai Aur jisne
Kaha to yeh bhi ek gulaam
Azaad karne ki tarah hai !
(Al musnad lil imam Ahmad bin
hambal, jild 6, safha 408, hadees: 18541)
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon