GHARELU ILAJ-KOUNSI DAWA KIS KE LIYE NUKSAN DEH HAI

KOUNSI DAWA KISKE LIYE NUKSAN DEH HAI


mene aelopetic adawaiya ke shobe se wabasta ( ta'lluk) Apne marhum bade bhaijan se suna tha ki jab penicillin ka injection naya naya ijad hua tha to logo ko is se kafi shifaye mil rahi thi, magar ba'az mariz isi ke manfi Asar ( reaction) ke sabab fout bhi ho jate the ! shugar ke marizo ke liye shakar Aur mithi chezo wale, fisharuddam ( hayi blud preshar) walo ke liye Namak Aur chiknahat wale Aur Dil ke marizo ke liye ghe tel wali daawao ke nuskhe nuksan deh sabit ho sakte hai ! isi tarah bazo ko khajuro, chuharo se muh me chale pad jate hai Aur kisi ko dud hajm nahi hota !




KYA HAR MARIZ KE LIYE SHAHAD MUFID ( FAYDE MAND )HAI?

shahad hi ko le lijiye hala ki is me shifa hai: taham ba'azo ke vujud is ko bardasht nahi kar pate chunanche mere Aa'la hazrat imame Ahle Sunnat, maulana shah imam Ahmad raza khan عَلَيهِ رَحمَةُالرَّحمٰن  fatawa Razviya jild 25 safha 88 par raddul muhtar ke hawale se naql farmate hai shahad unhe nuksan karta hai balki barha bimar kar deta hai ! ba Aaki ( ya'ni ba vujud iske ki) woh ya'ni shahad) ba nasse kur Aani ( dalilo kur Aani se) shifa hai Aa'la hazrat imame Ahle Sunnat maulana shah imam Ahmad raza khan عَلَیهِ رَحمَةُالرَّحمٰن  safra ki vazahat karte hue farmate hai: " woh zard pani pitte me hota hai jis ko safra kehte hai !"( fatawa Razviya jild 20, safha 237)

 mir Aat jild 6, safha 218 par diye hue mufassire shahir hakimul ummat hazrate mufti Ahmad yaar khanعَلَیهِ رَحمَةُاللّٰهِ الحَنَّان ke farman ka khulasa hai : "tib me shahad ko dast Aavar ( ya'ni dast Lane wala) maana gaya hai lihaza dasto ( ya'ni dayriya looz motion) me shahad istemaa'l na kiya jaye

http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com











Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment