SUNA SUNAYA ILAJ KHATRNAAK HO SAKTA HAI
ilaj ke liye kisi ek tabeeb ( dr.) ko mustaqilan makhsus ( khas) karlena chahiye, woh Aap ke tabai mizaaj se waqif rahega to ilaj jald ho sakega Aur manfi asraat ke khatrat bhi kam rahenge, warna khuwah ma khuwah juda juda tabibo ke pas jayenge to woh naye naye nuskhe Aajmayenge, is Tarah Aap ka pesa Aur waqt dono barbaad hote rahenge ! isi tarah kitabo yaa logo ke bataye hue nuskho ke mutabik ilaj Karna bhi khatarnaak saabit ho sakta hai, ki maslan mash hur hai "neeem hakeem khatraye jaan!" satho sath yeh bhi khas taakid hai ki
IS KITAB ME DIYA HUA KOI BHI NUSKHA APNE TABEEB(DR.) SE MASHWARA KIYE BIGER ISTEMA'AL NA KIYA JAYE AGARCHE YEH NUSKHA USI BIMARI KE LIYE HO JIS SE AAP DO CHAR HO
iski bunyaadi vajah yeh hai ki logo ki tabai kefiyyat juda juda hoti hai, ek hi dawa kisi ke liye Aabe hayat ka kaam karti hai to kisi ke liye mout ka payam laati hai ! lihaza Aap ki jismani kefiyyat se vaaqif Aap ka makhsus tabeeb ( dr.) hi behtar te kar sakta hai ki Aap ko koun sa nuskha muwafiq ho sakta hai Aur kounsa nahi ! Q ki kitaab me ilaj ke tariqe bayan karna Aur hai jab ki kisi khas mareez ka ialj karna Aur !
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon