Agar roza chut jaye to uski kaza kab Karen Aaiye Jante hai


PICHLI POST ME HAMNE PADA THA ROZA NA RAKHNE KI IJAZAT PAR TAFSILI BAYANA AAIYE AB PADTE HAI KAB ROZE KI KAZA K BARE ME


KAZA KE 12 PER 


(1) : yeh gumaan tha
 ki subha nahi hui
 Aur khaya, piya ya
 zima'a, kiya ba'ad
 ko ma'lum hua ki
 subha ho chuki thi
to roza na hua,
 is roze ki kaza :
karna ,zaruri hai
ya'ni is roze ke badle
 ek roza rakhna hoga !


(raddul muhtaar jild 3
safha 380)

(2) : khane par sakht.
 majbur kiya gaya
 ya'ni ikrahe sharayi
 paya gaya! Ab chunki.
majburi hai,
lihaza. khuwah. Apne
 hath se hi khaya ho
 srf: kaza: lazim hai !

(durre Mukhtar jild 3
safha 402) is masle ka
 khulasa. yeh hai
 ki koi Katl. ya uzuw: kaat 
daalne ya shadid maar
 lagane ki sahi dhamki
 dekar kahe ki roza todh
 daal, Agar rozdaar ye
 samjhe ki dhamki dene
wala Jo kuch ke raha hai
 woh kar guzrega !
ikrahe sharayi
 paya gaya Aur esi
 Surat me roza todh 
daalne ki ruksat hai
 magar ba'ad me is
 roze ki kaza lazim hai


(3) bhul kar khaya piya
 ya zima'a kiya tha ya nazar
karne se inzaal hua tha
 ya Ahtilaam hua ya QE (ulti)
Aur in Sab surto me
 ye gumaan kiya ki roza
 jata raha !
Ab Qasdan khaliya to.
 kaza farz hai 

(durre Mukhtar jild 3
safha 375

(4)  : roze ki halat me

naak me dawa chadayi
 Aur IS ki kaza laazim hai

 (durre Mukhtar jild 3
safha 376)


(5) :phattar , kankar, (esi)
 mitti ( Jo  Adatan na khayi 
jati ho) ruyi, ghas, kagaz
 wagera esi cheeze khayi
 jinse log ghin karte ho !
inse bhi roza tut gaya
 srf kaza karna hoga !

(durre Mukhtar jild 3
safha 377)


(6) : barish ka paani
 ya ola halk me chala gaya
 to roza tut gaya Aur kaza
. lazim hai!


(durre Mukhtar jild 3 safha
 378)


(7) : bahut saara pasina
 Aur Aansu Nigal liya
 to roza tut gaya

 ( eza)

(8) : gumaan kiya ki
 Abhi to roza baaki hai,
sehri khate rahe Aur
 ba'ad me pata chala
 ki Sheri ka waqt khatam
 ho chuka tha ! is surat me
 bhi roza gaya Aur kaza
 Karna hoga !

(ruddul muhtaar jild
 3 safha 380). 


(9) : isi tarah gumaan
 karke ki suraj gurub 
ho chuka hai !
kha piliya Aur ba'ad
 me ma'lum hua
 ki suraj nhi duba
 tha jab bhi roza tut
 gaya Aur kaza Karen!

(raddul muhtaar jild
 3 safha 380)




(10) Agar gurube Aftab
 se pehle hi sayran ki Awaz
 gunj uthi ya Azane
 margib shuru ho gayi
 Aur Aap ne roza iftaar.
 karliya ! Aur fir ba'ad me
 ma'lum hua ki sayran
 ya Azaan to waqt se 
pehle hi shuru ho. 
gaye thi !
isme Aap ka kasur ho
 ya na ho bahar haal
 roza tut gaya ise kaza.
 Karna hi hoga !

( makhuz min raddul
 muhtaar jild 3 safha 383)

(11) : Aaj kal chunki
 la parwaahi ka
 dor dora hai
 isliye har ek ko
 chahiye ki Apne. roze
 ki khud hifazat kare !
sayran radio TV, ke elaan
 balki masjid ki Azaan
 par bhi iktifa karne ke
bajaye khud sehri
 ve iftaar ke waqt ki
 sahi sahi ma'lumat 
hasil kare ! 

(12) vuzu karrahe the
 pani naak me dala
 Aur dimaag me  tak 
chadh gaya ya halk ke
 niche utar gaya, 
rozaddar hona yaad
 tha to roza tut gaya
 Aur kaza lazim hai !
ha Agar us waqt 
rozadaar hona yaad
 nahi tha roza na gaya

 ( aalamgiri jild 1 safha 202)

Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment