ISTAGFAR KARNE KE FAZAIL

MAGAFIRAT  KE 5 HURUF KI NISBAT SE ISTAGFAAR KARNE KE 5 FAZAIL

( 1 ) DILO KI JANG KI SAFAYI

Hazrate sayyiduna Anas رضي الله تعالى عنه  se rivayat hai ki khatmunnabiyyin, sahibe qurane, mehbube rabbul Aalameen, janabe sadiqo Ameen صلى الله تعالى عليه وسلم  ka farmane Dil nishsn hai: behsak lohe ki tarah Dilo mein  bhi zang lag jata hai Aur iski jila ( ya`ni safayi ) istagfar karna hai !

( majmauzzavaid jild 10, safha 346, hadees: 17575 )



( 2 ) PARESHANION AUR TANGIYON SE NAJAT

Hazrate sayyiduna ABDULLAH bin Abbas رضي الله تعالى عنهما  se rivayat hai ki mehbube rabbe jul jalal, sahibe judo naval صلى الله تعالى عليه وسلم  ka farmane Dil nishan hai : jisne istagfar ko Apne upar lazim kar liya Allah عز وجل  uski har pareshani door farmayega Aur tangi se use rahat Ata farmayega Aur use Aisi jagah se rizq Ata farmayega jahanse use guman bhi na hoga !

( sunano ibne maajah, jild 4, safha 257, hadees: 3819 )



( 3 ) KHUSH KARNE WALE AA`MAL NAMA

Hazrate sayyiduna juber bin Avvam رضي الله تعالى عنه  se rivayat hai ki nabiye mukarram, noore mujassam, rasoole Akram, shehan shahe bani Aadam صلى  الله  تعالى عليه وسلم  ka farmane Dil nishan hai : jo is bat ko pasand karta hai uska namaye A`maal use khush kare to chahiye ki usmein istagfar ka izafa kare!

( majmauzzavaid jild 10, safha 347, hadees: 17579 )


( 4 ) KHUSH KHABRI

Hazrate sayyiduna Abdullah bin busar رضي الله تعالى عنه  se rivayat hai ki mene shehan shahe madina karare qalbo seena, sahibe mu`attar pasina, baise nuzule sakina صلى الله تعالى عليه وسلم  ko farmate hue suna ki khush khabri hai uske liye jo Apne namaye A`maal mein istagfar ko kasrat se paye !

( sunano ibne maajah, jild 4, safha 257, hadees: 3818 )



( 5 ) SAYYIDUL ISTAGFAR PADHNE WALE KE LIYE JANNAT KI BISHARAT

Hazrate sayyiduna shaddad bin AOS  رضي الله تعالى عنه   se marvi hai ki khatimul mursaleen rahmatullil Aalameen  صلى الله تعالى عليه وسلم  ne farmaya ki yeh sayyidul istagfar hai ; jisne ise din ke waqt iman ve yaqin ke sath padha phir usi dn sham hone se pehle uska inteqal ho gaya to who jannati hai Aur jisne rat ke waqt ise iman ve yaqi ke sath padha phir subha hone se pehe uska inteqal ho gaya to who jannati hai !

( sahihul bukhari, jild 4, safha 190, hadees: 6306 )
----------------------------------------------------------------------------
AGAR LIKHNE ME KISI BHI JAGAH KAMI BESHI PAYEIN TO HAMARI ISLAH FARMAYE,
--------------------------------------------------------
WHATSAPP NO. +918955875474
_______________________________________

WHATSAPP GROUP > FAIZAN-E-RAZA
_______________________________________________________


  
Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment