; NAMAZ; KE 4 HURUF KI NISBAT SE SURAYE BAQRAH KI AAKHRI AYAT KE 4 FAZAIL
( 1) shehan shahe
madina, surure qalbo seena صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya: Allah عزوجل ne zameen ve Aasman ko
peda karne se do hazar saal pehle ek kitaab likhi phir usme se baqrah ki Aakhri
do Ayatein nazil farmayi, jis ghar mein teen rate in do Ayaton ko padha jayega shetan us ghar ke kareeb na Aayega!
( sunanuttirmizi, Al hadees : 2891, jild 4, safha 404)
( 2 ) ek rivayat ke Alfaz kuch yun hain ki;jis ghar mein in do Ayato ko padha jayega shetan teen din tak uske kareeb na Aayega!;
( Al mustdark, hadees: 2109, jild 2, safha 268)
( 3 ) noor ke pekar , nabiyom ke sarvar, do jahan ke
tajvar, sultane behro barصلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya :;beshak Allah عز وجل ne
muje Apne Arsh ke niche ke khazane mein se Aisi do Ayatein Ata farmayi jin ke
zariye suratul baqrah ka ikhtitam farmaya, unhe seekho Aur Apni Aurton Aur
bachon ko sikhao kyun ki yeh namaz Aur quran Aur dua hain!;
( Al mustdarak, Al hadees: 2110, jild 2, safha 268 )
( 4 ) sultane do jahan, madine ke sultan, rehmate
Aalamyan, sarvare jishan صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya: ;jo shakhs
(suraye baqrah ki Aakhri do Ayatein rat me padega woh
use kifayat karegi !;
( sahihul bhkhari, hadees 5009, jild 3, safha 405 )
Kifayat semurad yeh hai ki ye don Ayatein us rat ke qiyam
ke qayim maqam ho jayengi ya us rat use shetan se mehfuz rakhengi ya us rat
mein nazil hone vali Aafat se bachayegi ys use fazilat ve sawab ke liye kafi
hogi والله
تعالى أعالم
--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------
AGAR LIKHNE ME KISI BHI JAGAH KAMI BESHI PAYEIN TO HAMARI ISLAH FARMAYE,
WHATSAPP NO. +918955875474
WHATSAPP GROUP > FAIZAN-E- RAZA
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon