SURAJ KI KIRNO KA KAMAAL (GHARELU ILAJ)

PICHLI POST ME HAMNE PADHA THA AGJOST FAN GHAR ME LAGNA KITNA ZARURI HAI AUR ISKE KYA KYA FAIDE HAI AUR AB HAM PADENGE > SURAJ KI KIRNO KA KAMAAL< AUR AAGE PADENGE> SHISHE SE CHAN KAR AANE WALI DHUP SE KYA HOTA< PHIR PADENGE >BACHO KI BIMARI KESE HOTI HAI< ISKE AAGE PADENGE > AGAR GHAR MEIN DHUP NA AAYE TO USKE KYA NUKSAN HO SAKTE HAI






  








insani jism ki Khal me vitamin D (soyi hui halat)ya`ni inactive form me hota hai! uska naam 7 Dehydro. cholestrol hai ! jab suraj ki Altra voilet rays insani jism par padti hai to khal mein soya hua vitamin D bedar hokar mutaharrik hota Aur vitamin D3 me tabdil hokar khun mein shamil ho jata hai! wahan se yeh jigar mein jata hai jaha isko mazeed kar Aamad( Aur faydeband) banaya jata hai  phir ye gurdo mein pohoch kar mukammal tor par sargarme Amal ho jata hai ! Ab yeh vitamin D3 Aanto se kelsiam Aur phosphorus ko khun kw Andar jazb karne mein madad deta balki is Amal ko tez tar kar deta hai! Aur unko jo miqdar hamari khurak mein shamil ho kar hamari Aanto me pohoch rahi hai usko zaye nahi hone deta balki tezi se use khum mein jazb kar leta hai ! kelsiam ur phosphorus hamri haddiyon ki sahi nashvo numa ke liye behad zaruri hai !



SHISHE SE CHAN KAR AANE WALI DHUP

suraj ki woh shuaayen jo band khidkiyon ke shishe se paar ho kar insani jism tak pohonchoti hai unme Altra voilet shuaayen nahi hoti lihaja unme yeh khasiyat bhi nahi hoti ki soye hue vitamin D ko bedar kar ke kar Aamad bana sakein!


          BACHO KI BIMARI 





jis tarah umuman podon ki nashvo numa ke liye dhup ka Aham kirdar hai isi tarah bacha ho ya jawan , udhed umr ka ho ya budha har badne insani ke liye taza hawa Aur dhup faydemand hai ! 6 mah se 2 saal ki umr ke darmiyan bacho ki haddian tezi se bhadti hai! Agar haddiyon ki sahi nashvo numa na ho to unmein; rickets; nami bimari peda hoti hai! haddiyon ki sahi nashvo numa ke liye vitamin D 3 bahut zaruri hota hai Agar isme kami  waqe ho jaye to haddiyon me mukhtalif nakais(khamiyan) rah jate hai jo Aage chal kar pareshani ka bais bante hai!





GHARO ME DHUP NA AANE KA NUKSAN


Aaj kal ;reckets; nami bimari bacho mein Aam hoti ja rahi hai, iski vajuhat me se khurak me vatamin D3 ki kami bhi shamil hai, magar sabse badhi vajah tang mohallo Aur choti choti galiyon ke Andar badhi badhi imarton ke band gharon mein rihaish hai! q ki Aisi jaghon par suraj ki ultra voilet rays sahi tor par insani jism tak nahi pohonch panti Aur natijatan bacha rickets ka shikar ho jat hai, Agar Aisa hua to uski haddiyon mein ek ya ek se ziyada mukhtalif noiyyat ke naks (Aib) peda ho jayengen !




BACHE MEIN RICKETS KI ALAMAT


  1. Baar Baar namuniya hojana 
  2.   Aaye din dast lag jana 
  3.  chidchida pan Aur 
  4.  khun ki kami ! 


AGAR LIKHNE MEIN KAHI BHI KABI BESHI PAYEIN TO HAMRI ISLAH FARMAYE,

WHATSAPP NO. +91 8955875474

WHATSAPP GROUP > FAIZAN-E-EAZA 
Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment