السلام علیکم DOSTO AAPNE IS POST SE PEHLE KAFI KUCH VIRDO VAZAIF AUR FAZAIL PADEIN HAIN ME AAP KE SAMNE EK AUR POST LEKAR HAZIR HUA HUN AB AAIYE PADTE HAI
SURAYE FALAQ HAI AUR SURAYE NAS KE 5FAZAIL
(1) hazrate sayyiduna Jabir bani Abdullah رضي الله تعالٰي عنهما farmate hain ki sarkare wala tabaar, ham be kason ke madadgar, shifiye roze shumar, do Alam ke malikon Mukhtar صلي الله تعالٰي عليه وسلم ne mujse farmaya:" Ae Jabir! padho!"mene Arz ki:"ya rasoollallah ! صلي الله تعالٰي عليه وسلم mere MA baap Aap pe qurban! kya padhun?" farmaya: قل اعوزُ برب الفلق Aur قل اعوبرب النّاس phir mene yeh donon (surtein) padhi to farmaya:" in donon ko padha karo kyun ki tum in ki misl hargiz na padh sakoge!"
(2) Hazrate
sayyiduna uqba bin Aamir رضي الله تعالى عنها
Se rivayat hai ki ;mein ek safar mein
rasoolallah صلي الله تعالٰي عليه وسلمﷺ ke sath to Aap ﷺ ne farmaya :; Ae uqba ! kya tumhein
padhi jane wali 2 behtreen surtein na sikhaun?; phir Aap ﷺ ne muje (قل اعوزُ برب الفلق ) Aur ( قل اعوبرب النّاس ) sikhayi !
( sunane
abi dawood, Al hadees: 1462,jild, 2, safha 103)
(3)
hazrate sayyiduna uqba bin Aamir رضي الله تعالى عنه se rivayat hai ki ;mein
rasoolallah صلي الله تعالٰي عليه وسلمﷺ ke sath
zuhfa Aur Abva ( 2 makamat ) ke darmiyan se guzar raha tha ki hamein shadid
Aandi Aur tarikhi ne gher liya to rasoolallah ﷺ ne (قل اعوزُ برب الفلق ) Aur ( قل اعوبرب النّاس) ke zariye
panah mangna shuru kar ki Aur mujse farmaya :;Ae uqba ! in dono ke zariye panah
manga karo kisi panah chahne vale ne is misl kisi cheez ke vasile se panah nahi
mangi!;
(sunane
abi dawood, Al hadees : 1463 ,jild 2, safha 103)
(
4 ) ummul mominin hazrate sayyidatuna Aaysha رضي الله تعالى عنهما
Se
rivayat hai ki jab rasoolallah ﷺصلي الله تعالٰي عليه وسلم Aaram farmane ke liye bistar par jate to donon hathon
ke jodh kar suraye ikhlas, falaq Aur naas padh kar dam karte Aur badne Aqdas ke
jis hisse tak hath pahunchte vahan hath ferte magar hath ferne ki ibtida sar
Aur chehre se hoti Aur jisme Aqdas ke Agle hisse se Aur isi tarah teen martaba
yeh Amal karte the!
(
sahuhul bukhari, Al hadees : 5017, jild 3, safha 407)
(
5 ) hazrate sayyiduna Abdullah bin habeeb رضي الله تعالى عنه
Se
marvi hai ki sarkare do Aalam noore mujassam, shahe bani Aadam, rasoole mohtahsam
ﷺصلي الله تعالٰي عليه وسلم ne unse farmaya قل هو الله أحد
Aur
mua`vvi zaten ( suraye falaq Aur suraye naas ) rozana teen teen martaba subha
ve sham padh liya karo yeh tumhare liye har cheez se kifayat karegi
(
Addurrul masur jild 8, safha 681 )
AGAR KISI BHI JAGAH LIKHNE MEIN KAMI BESHI PAYEIN TO HAMARI ISLAH FARMAYE,
WHATSAPP NO. +918955875474
WHATSAPP GROUP > FAIZAN-E-RAZA
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon