PICHLI POST ME HAMNE PADHA THA KIN SOORTO ME ROZA CHORDNE KI IJAZAT HAI, AAIYE AB TAFSILI BAYAN PADTE HAIN KAB ROZA CHORD SAKTE HAI AUR KIN KIN MAJBURIYO ME CHORD SAKTE HAI
الصَّلٰوةُ وَالسَّلاَمُ عَلَيكَ يا سيَّدی یا رسولَ الله"
KE 33 HURUF KI NISBAT
SE ROZA NA RAKHNE KI
IJAAZAT PAR MABNI
33 PER
(magar woh majburi khatm
ho Jane ki surat me
har roze ke badle ek
roza kaza rakhna hoga)
(1) : musafir ko roza
rakhne ya na rakhne
ka ikhtiyar hai !
(raddul muhtaar jild 3
safha 403)
(2). : Agar khud us
musafir ko Aur uske
sath wale ko roza
rakhne me zarar
( ya'ni nuqsaan)
na pohche to roza
rakhna safar me
behtar hai Aur Agar
dono2 ya unme se
kisi ek ko nuqsaan
ho raha ho to roza
na rakhna behtar hai !
(durre Mukhtar jild 3
safha 405)
(3) : musafir ne zahwaye
kubra se peshtar iqamat
ki aur abhi khuch khaya
nahi to roze ki niyyat
karlena vajib hai !
Al Jo ha- ratunnayyarah
jild 1 safha 186)
maslan aap ka babul
madina Karachi se
hadar aabaad ke
liye chale aur subha
10 baje pahuch gaye
aur subhe sadiq ke
ba'ad raste me kuch
khaya piya na tha to
Ab roze ki niyyat kar
lijiye !
(4) : din me agar safar
kiya to us din ka roza
chord dene ke liye aaj
ka safar uzr nahi !
albatta agar dorane
safar todh denge to
kaffara lazim na
aayega magar gunah
zarur hoga !
aur roza kaza Karna
farz rahega !
(raddul muhtaar jild 3
safha 416)
(5) agar safar shuru
karne se pehle todh
diya !phir safar kiya
to ( agar kaffare ke sharait
paye gaye to) kaffara bhi
laazim aayega)
(ezan)
(6) : agar din me safar
shuru kiya (aur dorane
safar roza todha na tha)
aur makaan par koi cheez
bhul gaye the use lene
wapas aaye aur Ab agar
aa kar roza todh dala
to sharayit paye Jane
ki surat me) kaffara
bhi wajib hai !
agar dorane safar hi
todh diya hota to
sirf kaza rakhna
farz hota jesa ki
no. 4 me guzra !
(fatawa aalamgiri jild
1 safha 203)
(7) : kisi ko roza todh dalne
par majbur kiya gaya to
roza to todh sakta hai
magar sabr kiya to ajr
milega !
(majburi ki ta'arif safha
234 par guzri)
( raddul muhtaar jild 3 safha
402)
(8) : sanp ne das liya aur
jaan khatre me padh gayi
to roza todh de !
(raddul muhtaar jild 3safha 402)
(9) : jin logo ne in
majburiyon ke sabab
roza thoda un par
farz hai ki in rozo ki
kaza rakhe aur in
kaza roze me tarteeb
farz nahi !lihaza
agar un rozo ki
kaza karne se qabl
nafl roze rakhe
to yeh nafli
roze ho gaye,
magar hukm yeh
hai ki uzr Jane
ke bA'ad aainda
ramazanul mubarak
ke aane se pehle pehle
kaza rakhle !
hadeese paak me
farmaya, "jis par
gujashta ramazanul
Mubarak ki kaza
baqi hai aur woh
na rakhe, uske is
ramazanun Mubarak
ke roze qabul
na honge !
(mazmauzzawaid jild
3 safha 415)
agar waqt guzarta gaya
aur kaza roze na rakhe
yaha tak ki dusra
ramazanul Mubarak
agaya to Ab kaza roze
rakhne ki bajaye pehle
isi ramazanul Mubarak
ke roze rakh lijiye !
kaza BA'ad me rakh
lijiye ! balki agar
Gair mariz ve
musafir ne kaza
ki niyyat ki jab bhi
kaza nahi balki isi
ramazanul Mubarak
ke roze hai !
(durre Mukhtar jild 3
safha 405)
(10) : Hamal wali ya dud
pilane wali aurat ko
agar apni ya bache ki
jaan Jane ka sahi'h
andesha hai to ijaazat
hai ki is waqt roza na
rakhe !khuwah dud
pilane wali bache
ki ma ho
ya dayi, agarche
ramazanul Mubarak
me dud Pilane ki
nokri ikhtiyar ki ho
(durre Mukhtar , raddul
muhtaar jild 3safha 403)
(11) : bhuk aur piyas
esi ho ki halakat ka
khofe sahi'h ho ya
nuqsane aql ka andesha
ho to roza na rakhe !
(durre Mukhtar, raddul muhtaar
jild 3safha 402)
(12) : mareez ko marz bhad
Jane ya der me acha
hone ya tandrust ko
bimaar ho Jane ka
gumane galib ho to
ijaazat hai us din
ka roza na rakhe !
(balki ba'ad me kaza
karle !
(durre Mukhtar jild 3safha
403)
(13) : in surto me galib
guman ki qed hai
mahez vehem na
qafi hai ! gaalib ki
teen3 surte hai !
1 pehli surat hai
ki is ki zaahiri
nishani payi
jati hai 2 dusri yeh
ki is ki is shakhs
ka zati tajriba hai !
3 teesri yeh hai ki
kisi maslmaan
haziq ( ya'ni tajribe
kaar aur apne fanne
tib me maahir)
tabeebe mastur ya'ni
gair fasiq ne is ki
khabar DI ho!
aur agar na koi
alamat ho, na
tajriba na is qism
ke tabeebe ne
use bataya balki
kisi kaafir ya
fasiq tabeeb
(maslan dadhi
munde doctor)
ke kehne se iftaar
kar liya ya'ni roza
todh dala to sharayit
paye Jane ki surat me
kaza ke sath sath
kaffara bhi kazim aayega !
(raddul muhtaar jild 3
safha 404)
(14) : hez ya nafaas
ki halat me namaz roza
haraam hai aur esi halat
me namaz ve roza sahi'h
hote Hi nahi neez tilawate
Qur'ane paak ya Qur'ane
paak ki aayate muqaddasa
ya un ka tarjama chuna
yeh sab bhi haraam hai !
(bahare shari'at hissa
2 safha 88,89)
(15) :hez ve nafaas wali
ke liye ikhtiyar hai ki chip.
kar khaye ya zahiran !
rozedaar ki tarah rehna
us par zaruri nahi !
(AL Jo-rtannayyarah jild 1
safha 186)
(16) : magar chip kar khana
behtar hai khususan hezwali
ke liye
( bahare sharia't hissa 1
safha 135)
(17) : shekh faani"
ya'ni woh mu'ammar
buzurg jin ki umar
itni bhadh chuki hai
ki Ab woh bechare
Roz ba roz kamzor
ho hote chale jayenge !
Ab woh bilkul hi roza
rakhne se a'ajiz ho jaye !
ya'ni na Ab rakh sakte hai
na aayinda roze ki taqat
aane ki ummid hai !
unhe Ab roza na rakhne
ki ijaazat hai !lihaza har
roz ke badle me ( batore
fidya) ek sadqaye fitr
(sadqaye fitr ki miqdaar
sawa do ser ya'ni taqriban
do kilo pachas giraam
gehun ya uska aaTa ya
un gehun ki raqam hai)
ki miqdaar miskeen ko
de den !
(durre Mukhtar jild 3 safha
410)
(18) : agar esa budha
garmiyo me roze nahi
rakh sakta to na rakhe
magar is ke badle sardiyo
me rakhna farz hai !
(raddul muhtaar jild 3
safha 472)
(19) : agar fidya dene ke
ba'ad roze rakhne ki
taqat aa gayi to diya
hua fidya sadqaye nafal
ho gaya ! un roze ki
kaza rakhe !
(aalamfiri jild 1 safha 207)
(20) yeh ikhtiyar hai ki
shuru ramzaan hi me
pure ramzaan ka ek dam
fidya de den ya
aakhir me den !
(aalamgiri jild 1safha 207)
(21) : fidya dene me yeh
zaruri nahi ki jitne fidye
ho utne hi masaakin ko
alag alag den !
balki ek hi miskeen ko
kayi din ke liye bhi diye
ja sakte hain !
(durre Mukhtar jild 3safha 410)
(22) : nafL roza qasdan
shuru karne wale par Ab
pura karna vajib ho jata
hai ki todh diya to kaza
vajib hogi !
(raddul muhtaar jild 3 safha 411)
(23) :agar aapne
yeh gumaan karke
roza rakha ki mere
zimme koi roza hai
magar roza shuru
Karne ke ba'ad
ma'lum hua ki
mujpar kisi kism
ka koi roza nahi
hai, Ab agar
foran todh diya
to kuch nahi
aur yeh ma'lum
karne ke ba'ad
agar forna na
todha, to Ab nahi
todh sakte, agar
todhenge to kaza
vajib hogi !
(durreh Mukhtar jild 3
safha 411)
(24) : NAFL ROZA
qasdan nahi todha
balki bila ikhtiyar tut
gaya maslan dorane
roza aurat ko hez
agaya, jab bhi kaza
vajib hai !
(durre Mukhtar jild 3
safha 412)
(25) : iedul fitr ya bakraied
ke 4 din ya'ni 10,11,12,13
jul hijjatul haraam
me se kisi bhi din ka
roza e nafl rakh to
( chunki is 5dino me roza
rakhna haraam hai lihaza)
in roze ka pura karna vajib
nahi ! na iske todhne par
kaza vajib, balki iska todh
dena hi vajib hai !
aur agar in dino me roza
rakhne ki mannat maani
to mannat puri karni
vajib hai magar in Dino
me nahi, balki aur dino me !
(raddul muhtaar jild 3
safha 412)
(26) : NAFL roza
bila uzr todh dena
najaiz hai !mehmaan
ke sath agar mezbaan
na khayega to use na
gawara hoga ya mehman
agar khana na khayega
to mezbaan ko aziyyat
hogi to nafl roza thodh
dene ke liye yeh uzr hai !
(سبحان الله عزوجل
Shari'at ko ahtarame
muslim ka kis qadar
lihaaz hai )
basharte ki yeh barosa
ho ki iski kaza rakh
lega aur zahwaye
kubra se pehle todh
den ba'ad ko nahi !
(aalamgiri jild 1 safha 208)
(27) : da'wat ke sabab
zahwaye kubra se
pehle roza todh sakta
hai jab ki da'wat karne
wala mehez is ki
mojudgi par razi na ho
aur uske na khane
ke sabab naraz ho
basharte ki yeh
bharosa ho ki ba'ad
me rakh lega,
lihaza Ab roza todh le
aur uski kaza rakhe !
lekin agar da'wat karne
wala mehez uski
mojudgi par razi ho jaye
aur na khane par Naraz
na ho to roza todhne
ki ijaazat nahi !
(fatawa aalamgiri jild 1
safha 208 koita)
(28) : nafl roza zawal
ke ba'ad ma baap
ki narazgi ke sabab todh
sakta hai! Aur isme Asr
se pehle tak todh sakta
hai ba'ade Asr nahi !
(durre Mukhtar, raddul
Muhtaar jild 3 safha 414)
(29) : Aurat bigair shohar
ki ijazat ke nafl Aur
mannat ve qasam ke roze
na rakhe Aur rakh liye
to shohar tudhwa sakta
hai magar todhegi to
kaza vajib hogi
magar iski kaza
me bhi shohar ki
ijazat darkaar hai !
ya shohar Aur uske
darmiyan judayi
ho jaye ya'ni talaqe
bayin ( talaqe bayin
us talaq ko kehte hai
jisse biwi nikah se
bahar ho jati hai,
Ab shohar ruju nahi
kar sakta) de de ya
mar jaye! ha Agar
roza rakhne me
shohar ka kuch
haraz na ho,
maslan woh safar
me hai ya bimaar
hai ya Ahraam me
hai to in halato me
bigair ijazat ke bhi
roza rakh sakti hai
balki woh man'a kare
jab bhi rakh sakti hai !
Albatta in dino me bhi
shohar ki ijazat ki
bigair nafl roza nahi
rakh sakti !
(raddul muhtaar jild 3 safha
415)
(30) : ramazanul Mubarak
Aur kazaye ramazanul
Mubarak ke liye shohar
ki ijazat ki kuch zarurat
nahi balki us ki
muma n'at par bhi rakhe !
(durre Mukhtar, raddul muhtaar
jild 3 safha 415)
(31). : Agar aap kisi ke
mulazim hai ya
uske yahan mazduri
par kaam karte hain
to uski ijazat ke
bigair nafl roza nahi
rakh sakte q ki roze
ki vajah se kaam me
susti Ayegi ! ha Agar
roza rakhne ke ba
vajud Aap ba qayda
kaam kar sakte hain,
uske kaam me kisi.
qism ki kotahi nahi
hoti, kaam pura ho
jata hai ! to Ab nafl
roze ki ijazat lene
ki zarurat nahi !
(ruddul muhtaar jild 3 safha
416)
KE 33 HURUF KI NISBAT
SE ROZA NA RAKHNE KI
IJAZAT PAR MABNI
33 PER
(32) : nafl roze ke liye
beti ko baap, ma ko bete,
behen ko bhai se ijaazat
lene ki zarurat nahi
(raddul muhtaar, jild 3
safha 416)
(33) : ma baap agar
bete ko rozaye nafl
se man'a karden
is vajah se ki marz
ka andesha hai to
ma baap ki ita'at kare !
(raddul muhtaar jild 3 safha
416)
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon