AHKAME ROZA
WAH KYA BAT HAI
MAHE RAMAZAAN KI"
KE 21HURUFO KI NISBAT
SE ROZA NA TODNE VALI
CHIZO KE MUTA'LLIK 21 PER
(1) bhul kar khaya, piya ya
jimaa kiya roza fasid na hua
khuwah woh roza farz
ho ya nafL !!
(durre Mukhtar raddul
muhtaar jild 3safha 365)
(2) kisi rozadaar ko
in Afa'al me dekhe to
yaad dilana vajib hai !
ha Agar roza daar bohot
hi kamzor ho ki yaad
dilane par woh khana
chord dega jis ki vajah
se kamzori itni badh
jayegi ki uske liye roza
rakhna hi dushwar ho
jayega Aur Agar kha
lega to roza bhi
Achi tarah pura kar
lega Aur digar ibadate
bhi ba khubi Ada kar
sakega ( aur chunki bhul
kar kha pi raha hai is
liye iska roza to ho
hi jayega) lihaza is
surat me yaad na
dilana hi behtar hai !
ba'az mashaikhe
kiram farmate hai:
jawan ko dekhe to
yaad dila de Aur
budhe ko dekhe to
yaad na dilane me Harz
nahi!" magar yeh
hukm Aksar ke lihaz
se hai q ki jawan
Aksar qawi ( ya'ni taqatwar)
hote hai Aur budhe aksar
kamzor !! chunanche
Asl hukm yahi hai ki
jawani Aur budhape ko
koi dakhal nahi , balki
kuvvat ve zo'f(ya'ni
taqat Aur kamzori)
ka lihaz hai lihaza
Agar jawan is qadar
kamzor ho to yaad
na dilane me harz
nahi
Aur budha qawi
( ya'ni taqat war) ho
to yaad dilana
vajib hai !!
(raddul muhtaar jild 3
safha 365)
(3) roza yaad hone ke
ba vajud bhi makhkhi
ya gubaar ya dhua halk
me chale Jane se
roza nahi tut ta !
khuwah gubaar
AaTe ka ho Jo
chakki pisne ya
AaTa channe me
udhta hai ya Galle
ka gubaar ho ya
hawa se khak
udhi ya janwaro
ke khur ya taap se !
(durre Mukhtar raddul
muhtaar
jild 3 safha 366)
(4) isi tarah bas ya car ka
dhua ya unse gubaar
udh kar halk me pohcha
Agarche rozadaar hona
yaad tha roza nahi tuta !
(5) Agarbatti sulag rahi
hai Aur uska dhua naak
me gaya to roza nahi
tutega ! ha Agar lubaan
ya Agarbatti sulag rahi
ho aur roza yaad hone
ke ba vajud muh karib
le jakar uska dhua
naak se khicha to
roza fasid ho jayega
(raddul muhtaar jild
3safha 366)
(6) bhari singi lagwayi
ya tel ya surma lagaya
to roza na gaya Agarche
tel ya surma ka maza
halk me mehsus hota
ho balki thuk me surme
ka rang bhi dikhayi
deta Ho jab bhi roza
nahi tutega
( Al jo har tunnayyarah
jild 1safha 179)
(7) gusul kiya Aur pani
ki khunki ( ya'ni thndak)
Andar mehsus hui jab
bhi roza nahi tuta .
(aalamgiri jild 1safha 367)
(8) kulli ki Aur pani bilkul
fenk diya sirf kuch tari
muh me baki reh gayi
thi thuk ke sath ise
nigal liya roza nhi tuta
( ezan)
(9) kaan Me pani chala
gaya jab bhi roza
nhi tuta! balki khud
pani dala jab bhi na tuta
(durre mukhtar jild 3safha
367)
(11) tinke se kaan khujaya
Aur uspar kaan ka Mel
lag gaya phir wohi
Mel laGa hua tinka
kaan me dala Agarche
chnd baar esa kiya ho
jab bhi roza na tuta
( ezan)
( 12) dant ya munh me
khafif ( ya'ni ma'muli)
chiz be ma'lum si reh
gayi ki lu'aab ke sath
khud hi utar jayegi
Aur woh utar gayi
roza nhi tuta !
(ezan)
(13) danto se khun
nikal kar halk tak
pohcha magar
halk se niche na utra
to roza na gaya
(fathul qadeer jild 2
safha 258)
(14) makkhi halk me
chali gayi roza na gaya
Aur qasdan (ya'ni jaanbuj kar)
nigli to chala gaya !
(aalamgiri jild 1safha 203)
(15) bhule se khana kha
rahe the yaad Aate hi
lukma fenk diya ya pani
pee rahe the yaad Aate
Hi munh ka pani fenk
diya to roza na gaya !
Agar munh ka
lukma ya pani yaad
Aane ke ba vajud
nigal gaye to roza gaya!!
( ezan)
(16) subhe sadiq se
pehle
kha ya pee rahe the
Aur subeh hote hi
(ya'ni se-hri ka waqt
khatm hote hi)
munh ka sab kuch
ugal diya to roza
na gaya, aur agar
Nigal liya to jata raha !
(aalamgiri jild 1safha203)
(17) : geebat ki to roza
na gaya !(durre Mukhtar
jild 3safha 362)
agarche geebat sakht
kabira gunah hai !
Qur'an e Kareem
me geebat karne
ki nisbat farMaya,
"jese apne murda
bhai ka ghosht
khana,"
aur hadeese pak
me farmaya
" geebat zina se
bhi sakht tar hai !
(attargeeb vattarheeb
jild 3,safha 331 hadees24)
geebat ki vajah se
roze ki nuraniyyat
jati rehti hai!
( bahare shariat hissa
5 safha 611)
(18) : janabat (ya'ni gusul
farz hone) ki halat
me subah ki balki
Agar saare din junub
( ya'ni be gusul)
raha roza na gaya
(durre Mukhtar jild 3
safha372)
Agar itni der tak
qasdan ( ya'ni janbuj kar)
gusl na Karna ki namaz
kaza ho jaye gunah
we haraam hai /
hadees sharif me
farmaya, jis ghar
me junub ho usme
rehmat ke firishte
nahi aate !"
(bahare shariat hissa 5
safha 116)
(19): til ya til ke barabar
koi cheez chabayi
Aur thuk ke sath
halq se utar gayi to
roza na gaya magar
jab ki uska maza
halq me mehsus
hota ho to roza
jata raha !
(fathul qadeer jild 2
safha 259)
(20): thuk ya balgam
munh me Aya fir
use nigal gaye to
roza na gaya
( raddul muhtaar jild
3safha 373)
(21): isi tarah naak
me reent jam'a ho
gayi, sans ke zariye
khinch kar nigal
Jane se bhi roza
nahi jata !
(ezan)
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon