PICHILI POST ME HAMNE PADHA THA KIN KIN CHEEZO SE ROZA NAHI TOOT TA HAI AB AAIYE JANTE HAI KIN KIN CHEEZO SE ROZA MAKRUH HO JATA HAI
MAKRUHATE ROZA:
Ab roze ke makruhat ka
bayan kiya jata hai jin
ke karne se roza ho
to jata hai magar uski
nuraniyyat chali jati
hai! "nabi ke 3 huruf
ki nisbat se pehle 3
Ahadise muba-rka
mula-hza farmaye !
fir fik Hi Ahkaam Arz
kiye jayenge
(1): hazrate sayyeduna
Abu hurerahرَضِیَ اللّٰهُ تَعَالٰی عنُ
se rivayat hai ki nabiyo
ke sultan, rehmate
Aa'alamyan sardare do2
Jahan mehboobe
rehman صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم
ne farmaya: "Jo buri bat
kehna Aur us par
Amal karna na chorde
to Allahعزوجل ko
is ki kuch hajat nahi
ki us ne khana,peena
chord diya hai !"
(sahi Bukhari, jild 1
safha 628, hadees 1903)
(2): hazrate sayyeduna
Abu hurera رضي الله تعالٰی عنه ُ
se rivayat hai, noore mujassam
shahe bani Adam, rasoole
mohtasham, garibo ke
hamdam صلی الله تعالٰی علیه وسلم
ka farmane Aalishan hai:
roza sipar (ya'ni dhal) hai
jab tak use fadha na ho !
Arz ki gayi, kis chiz se
fadhega? Irshad
farmaya: "jhut ya
geebat se !"
continue...
(attargeeb vattarheeb
jild 2 safha 94 hadees3)
(3) : hazrate A'amir bin
rabi'aa رضی الله تعالٰی عنه
se rivayat hai:" mene
be shumar baar sarkare
vala tabaar, bi izne
parward gaar do2
jaha ke maliko mukhtar
shehan shahe abrar صلی الله تعالٰی علیه وسلم
ko roze me miswak
karte dekha !
(tirmizi jild 2 safha 176
Al hadees 725)
AB MAKRUHATE ROZE KA BAYAN KIYA JATA HAI
(1) : jhut geebat chugli
bad nigahi, gaali dena
bila ijazate sharayi
kisi ka Dil dukhana,
dadhi mundana
wagera cheeze wese
bhi najaiz ve haraam
hai roze me Aur ziyada
haraam Aur unki
vajah se roze me
karahiyyat Aati
Aur roze ki
nuraniyyat chali
jati hai
( durre Mukhtar jild 3
safha 395)
(2) : rozadaar ka bila
uzr kisi cheez ko chakhna
ya chabana makruh hai !
chakhne ke liye uzr ye
hai ki maslan Aurat ka
shohar bad mizaaj hai
ki namak kam ya besh
hoga to uski narazgi
ka ba'is hoga is vajah
se chakhne me koi
haraj nahi !
chabane ke liye uzr
yeh hai itna Chota
bacha hai ki roti
nahi chaba sakta
Aur koi narm Giza
nahi Jo use
khilayi ja sake,
na hezo nifaas vaali
ya koi Aur koi Aisa
ki use chaba kar de !
to bache ke khilane
ke liye roti wagera
chabana makruh nahi
magar puri Ahtiyat
rakhiye Agar halq ke
niche kuch utar gaya
to roza gaya !!
mas'ala
hezo nifaas ki halat
me Aurat ko roza,
namaz, tilawat na jaiz
ve gunah hai ! namaz
mu'aaf hai Magar
ba'de faragat roza
kaza Karna lazmi hai !
CHAKHNA KISE KEHTE HAI?
chakhne ka ma'na wo
nahi jo aaj kal Aam
muhavra hai ya'ni
kisi cheez ka maza
daryaft karne ke liye
usme se thodha kha
liya jata hai !
ki you ho to karahiyyat
kesi roza hi jata rahega !
balki kaffare ke sharait
paye jaye to kaffara bhi
Laazim hoga !
chakhne se muraad yeh
hai ki sirf zabaan par
rakh kar maza daryaft
karle Aur thuk den !
usme se halq me
kuch bhi na Jane paye
(3): koi cheez kharidi
Aur uska chakhna zaruri
hai ki Agar na chakha to
nuksaan hoga to esi
surat me chakhne me
Harz nahi warna makruh hai
( durre Mukhtar jild 3
safha 395)
(4): biwi ka bosa Lene
Aur gale lagana Aur
badan ko chuna makruh
nahi ! ha Agar yeh Andesha
ho ki inzaal ho jayega
ya jima'a (sohbat)me mubtala
hoga Aur hont Aur
zabaan chusna roze
me mutlaqan makruh
hai! you hi maba-sha-rte
fahesha (ya'ni sharmgah
se sharmgah takrana)
(raddul muhtaar jild 3
safha 396)
(5): gulab ya mushk
wagera sungna, dadhi
munch me tel lagana
Aur surma lagana
makruh nahi
(durre Mukhtar jild 3
safha 397)
(6) : roze ki halat me
har qism ka itr sung
bhi sakte hai Aur
kapde par bhi laga
sakte hai
( raddul muhtaar jild 3
safha 397)
(7) : roze me miswak
karna makruh nahi
balki jese Aur dino
me Sunnat hai wese
hi roze me bhi Sunnat
hai, miswak khushk ho
ya tar Agarche pani
se tar ki ho zawal se
pehle kare ya ba'ab
kisi waqt bhi makruh
nahi !
(raddul muhtaar jild 3
safha 399)
(8) : Aksar logo me
mash hoor hai ki Do
pehar ke ba'ad
rozedaar ke liye
miswak karna makruh
hai yeh hamare
mazhabe ha-nfiya
ke khilaf hai !
(ezan )
(9) : Agar miswak chabane
se reshe chute ya maza
mehsus ho to esi miswak
roze me nahi karna chahiye !
(fatawa razwiya takhrij
shuda jild 10 safha 511)
roza yaad hote hue
miswak ka resha
ya koi juz halq se
niche utar gaya
to roza fasid ho
jayega !
(10) : wuzu ve gusul
ke elawa thandak
pohchane ki garaz
se kulli karna ya
naak me pani chadana
ya thandak ke liye
nahana balki badan
par bhiga kapda
lapetna bhi makruh
nahi ! ha pareshani
zaahir karne ke liye
bhiga kapda lapetna
makruh hai ki ibadat
me Dil tang hona achi.
baat nahi!
(raddul muhtaar jild 3
safha 399)
(11) : ba'az Islami bhai
roze me baar baar
thukte rehte hai shayad
woh samajte hai ki
roze me thuk nahi
nigalna
chahiye, esa nahi !
Albatta munh me thuk
ikhatta kar ke nigal Jana,
ye to bigair roze ke bhi
na pasandida Aur
roze me makruh
(bahare shariat hissa
safha 129)
(12) : ramazanul mubarak
ke dino me esa kaam karna
jaiz nahi jisse zo'f
( ya'ni kamzori)
ajaye ki roza todne
ka zanne galib ho !
lihaza nanbhai ko
chahiye ki do pehar
tak roti pakaye phir
baqi din aaram kare !
durre Mukhtar jild 3
safha 400)
yehi hukm me'aar ve
mazdur aur digar
mashaqqat ke kaam
karne walo ka hai !
ziyada zo'f (kamzori)
ka andesha ho to
kaam me kami karden
taki roza ada kar sake !
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon