AHKAME ROZA
KIN KIN CHEEZO SE ROZA TUT JATA HAI AAIYE JANTE HAI
(1) khane, pine ya ham bistari
karne se roza jata rehta hai
jabki rozadaar hona yaad ho!
(raddul muhtaar jild 3 safha 365)
(2) hukka sigaar sigret churat
vagera pine se bhi roza jata
rehta hai ! agarche apne khayal
me halak tak dhua na
pohochta ho!
( bahare shariyat hissa panjum
safha 17)
( 3) paan ya sirf tambaku ko
khane se bhi roza jata rahega
agarche aap baar baar
iski peek thukte rahe!
qki halk me uske barik
ajza zarur pohochte hai!
(azan)
( 4) shakar vagera esi chize
jo muh me rakhne se ghul
jati hai muh me rakhi aur
thuk nigal gaye roza jata raha!
( ezan )
( 5) danto ke darmiyan koi
cheez chane barabar ya
ziyada thi use kha Gaye
ya kam hi thi magar muh
se nikaaal kar fir khali
to roza tut gaya!!
( durre Mukhtar,jild 3 safha 394)
( 6) danto se khun nikal kar
halk se niche utra aur khun
thuk se ziyada ya barabar
ya kam tha magar is
ka maza halk me mehsus
hua to roza jata raha
aur agar kam aur maza
bhi halk me mehsus
na hua to roza na gaya!!
( durre mukhtaar raddul muhtaar
jild 3safha 367)
(7) roza yaad rehne ke
ba vajud hukna liya!
ya naak ke natno se dawayi
chadhayi roza jata raha!!
( aalamgiri jild 1safha 204)
( 8) kulli karrahe the bila qasd
pani halk se utar gaya
ya naak me pani chadhaya
aur dimag me chadh gaya
roza jata raha magar
jab ki rozadaar hona bhul
gaya ho to na tutega
agarche qasdan ho!
uhi rozedaar ki taraf
kisi ne koi cheez feki
woh uske halk me chali
gayi to roza jata raha!!
( Al Jo-ha-ratunnayyah jild 1 safha
178)
( 9) sone me ( ya'ni nind ki
halat me ) pani pi liya ya
kuch kha liya ya muh khula
tha pani ka katra ya barish
ka ola halk me chala gaya
to roza jata raha!
AL Jo-h-ratunnayyarah jild1 safha178)
( 10) dusre ka thuk nigal liya
ya apna hi thuk hath me le kar
nigal liya to roza jata raha
(aalamgiri jild 1 safha 203)
(11) jab tak thuk ya balgam
muh ke andar mojud ho
huse nigal Jane se roza
nhi jata, baar baar thukte
rehna zaruri nahi!!
(12) muh me rangin Dora
vagera rakha jisse thuk rangin
ho gaya fir wohi rangin thuk
nigal Gaye to roza jata raha
( aalamgiri jild 1 safha 203)
(13) aansu muh me chala gaya
aur aap huse nigal gaye!!
magar katra 2katra hai
to roza na gaya aur ziyada
tha ki us ki namkini pure
muh me mehsus hui to roza
jata raha! pasine ka
bhi yahi hukm hai!!
(aalamgiri jild 1safha203)
(14) fuzle ka makaam baahar
nikal aya to hukm yeh hai
ki khub achi tarah kisi
kapdhe vagera se puch kar
uthe taaki tari baaqi na
rahe !! agar kuch pani us
par baqi tha aur khadhe
ho gaye jis ki vajah se
pani andar chala gaya
to roza faasid ho gaya!
isi vajah se fukhaye kiram
farmate hai ki rozadaar
istinja karne me saans
na le!
(aalamgiri jlid1 safha 4)
roze me qe hona
ba'z avqaat jab roze me qe
ho jati hai to log pareshan
ho jate hai balki ba'z to
samajte hai ki roze me
khud ba khud qe hojane
se bhi roza tut jata hai!!
halaki esa nahi hai!
chunanche sayyeduna
Abu hurera رَضِیَ اللّٰهُ تَعَا لٰی عنهَ
se marvi hai ki huzoore
poor noor shafaye yo
munnushur صَلَّی اللَّهُ عَلَیهِ وَسَلَّم
ka farmane Aalishan hai:
tarjama: jis ko mahe
Ramadan me khud ba
khud qe aayi us ka Roza
na tuta aur jis ne jaan buj
kar qe ki uska roza tut gaya!!
(kanzul ummaal jild 8 safha 230
hadis 23814)
ek aur makaam par Irshad
farmaya, "jisko khud ba
khud qe aayi uspar kaza
nahi aur jaan buj kar qe
ki woh roze ki kaza kare
(tirmizi, jild 2 safha 173 hadis 720)
roze me qe hona
(1) roze me khud b
a khud kitni hi qe (ulti) ho jaye (khuwah balti hi q na bhar jaye)
isse roza nahi tutta!
(durre mukhtar jild 3 safha 392)
(2) agar roza yaad hone
ke ba vajud qasdan
( ya'ni jaanbuj kar)
qe(ulti) ki aur agar woh
muh bhar kar hai
( muh bhar kar qe ki ta'rif
aage aati hai) to Ab
roza tut jayega!!
( durre mukhtar jild 3safha 392)
roze me qe hona
(3) qasdan muh bhar ke
hone vali qe se bhi is
surat me roza tutega jab
ki qe me khana ya (pani)
ya safra ( ya'ni kadwa pani)
ya khun aye!!
(ezan)
(4) agar qe me sirf balgam
nikla to roza nahi tutega
(ezan safha 394)
roze me qe hona
( 5) qasdan qe ki magar
thodi si aayi, muh bhar
na aayi to ab bhi roza
na tuta!!
(durre mukhtar jild 3 safha
393)
(6) muh bhar se kam qe
hui aur muh hi se dobara
lot gayi ya khud hi lota
di, in dono surto me
roza nahi tutega
(ezan)
AHKAME ROZA
roze me qe hona
(7)) muh bhar qe bila
ikhtiyar ho gayi to roza
to na tuta Albatta Agar
isme se ek chane
ke barabar bhi wapas
lota di to roza tut jayega!
Aur ek chane kam ho
to roza na tuta
(durre mukhtar jild 3safha 392)
MUH BHAR QE(ULTI) KI TA'RIF
muh Bhar qe(ulti) ke ma'na
yeh hai "ise bila takalluf
na roka ja sake !!"
(aalamdiri jild 1 safha 204)
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon