PICHLI POST ME HAMNE PADHA THA ROZA KIN KIN CHEEZO SE MAKRUH HO JATA HAI AAIYE AB PADTE HAI ROZA KIN KIN MAJBURIYON ME NA RAKHNE KI IJAZAT HAI AUR DORANE SAFAR ROZA NA RAKHNE KI IJAZAT HAI, AUR MAMULI BIMARIYON ME HAM ROZA CHORD SAKTE HAI YA NAHI AUR SAFAR KE MUTA'LLIK CHAND HADISE PADENGE CHALIYE AB AB PADTE HAIN
ROZA NA RAKHNE KI
MAJBURAYAN
mithe mithe islami
bhaiyo! ba'az
majburiyan esi hai
jin ke sabab
ramazanul mubarak
me roza na rakhne
ki ijazat hai !
magar yeh yaad rahe
ki mujburi me Roza
mua'af nahi woh
majburi khatam ho
Jane ke ba'ad is ki
kaza rakhna farz hai !
Albatta kaza ka gunah
nahi hoga !jesa ki "
bahare shariat me"
durre Mukhtar"
ke hawale se likha
hai ki safar ve hamal
Aur bache ko dud
pilana aur marz aur
bhudapa Aur khaufe
halaqat ve ikrah ya'ni
( Agar koi jaan se
maar dalne ya kisi uzw
ke kat dalne ya sakht
maar Marne ki sahih
dhamki de kar kahe
ki roza todh daal Agar
rozadaar janta ho ki
yeh kehne wala Jo kuch
kehta hai woh kar
guzrega to esi surat
me roza fasid kardena
ya tark karna gunah
nahi " ikrah se murad
yahi hai) ve nuksaan
Aql Aur jihaad yeh Sab
roza na rakhne ke uzr
hai in vajah se Agar koi
roza na rakhe to
gunahgaar nahi !
(durre Mukhtar raddul
muhtaar jild 3 safha 402)
SAFAR KI TA'RIF
dorane safar bhi
roza na rakhne ki
ijazat hai !safar
ki miqdaar bhi zehan
nasheen kar lijiye !
sayyidi ve murshidi
imam -e- Ahle Sunnat
Aa'la hazrat maulana
shah Ahmad raza khan
عَلَیهِ رَحمتُ الرَّحمٰن
ki tehqiq ke mutabik
shar'an safar ki miqdaar
sadhe sattawan meel
(ya'ni taqriban banwe(92)
kilo mitar) hai
Jo koi itni miqdaar ka
fasila te karne ki garaz
se Apne shehar ya
gaaun ki Abadi se
bahar nikal Aya,
woh Ab shar'an
musafir hai!
use roza kaza kar
ke rakhne ki ijazat hai
Aur namaz me bhi
woh kasr karega !
musafir Agar roza
rakhna chahe to rakh
sakta hai magar char
rak'at wali farz namazo
me se kasr karna wajib
hai ! nahi karega to
gunahgar hoga !
Aur jaha latan ( ya'ni
ilm na hone ki vajah se)
puri ( char) padhi
to is namaz ka pherna
bhi wajib hai
( mulakhkhasan fatawa
razaviyya takhriz shuda
jild 8safha 270)
ya'ni ma'lumat na
hone ki
bina par Aaj tak jitni
bhi namaze safar me
puri padhi hai in ka
hisaab laGa kar char
rak'at farz kasr ki
niyyat se do do2
lotane honge !
ha musafir ko muqeem
imaam ke peeche farz
char pure padhne hote
hai sunnate Aur witr
lotane ki zarurat nahi !
qasr sirf Zohar Asr Aur
isha ki farz rak'ato me
karna hai! ya'ni in
char rak'at farz
ki jagah do rak'at
Ada ki jayegi baqi
sunnato Aur witr
ki rak'ate puri Ada
ki jayegi ! dusre
shehar ya gaaun
wagera me
pohochne ke ba'ad
jab tak 15 din se kam
muddat tak qiyaam
ki niyyat thi
musafir hi kehlayega
Aur musafir ke Ahkaam
rahenge !Aur Agar
musafir ne waha
pohoch kar 15 din ya
usse ziyada qiyaam ki
niyyat karli to Ab
musafir ke Ahkaam
khatm ho jayenge !
Aur woh muqeem
kehlayega Ab ise
roza bhi rakhna
hoga Aur namaz bhi
kasr nhi karega !
safar ke muta'lliq
zaruri Ahkaam ki
tafsili ma'lumat
hasil karne ke liye
bahare shariat
hissa chaharum
ke baab " namaze
musafir ka bayan
" ka mutala farmaye
MA'MULI BIMARI KOI
MAJBURI NAHI
koi sakht bimar ho
Aur use roza rakhne
ki surat me marz
bhadh Jane ya der
me shifayabi ka
gumane galib ho
to
esi surat me bhi
roza kaza karne.
ki ijazat hai !
(iske tafsili Ahkaam
Aage Arahe hai )
magar Aaj kal
dekha jata hai ki
ma'muli nazla
bukhar ya darde
sar ki vajah se
log roza tark kar
diya karte hai
ya مَعَا ذَاللَّه عزوجل
rakh kar todh
date hai, esa hargiz
nahi hona chahiye !
Agar sahih sharayi
majburi ke bigair
koi roza chord de
Agarche ba'ad me
saari umr bhi roze
rakhe, us ek roze ki
fazilat ko nahi pa sakta !
MEETHE MEETHE ISLAMI
BHAIYO !
isse qabl ki roza na
rakhne ke Aa'zar
(ya'ni majburiyon)
ka tafsili bayan
kiya jaye lafz
karam" ke teen3
huruf ki nisbat se
teen3 Ahadise
mubarka ka bayan
ki jati hai
( faizane Sunnat peg
no. 226)
SAFAR ME CHAHE ROZA
ROKHO, CHAHE NA RAKHO
(1). : ummul mu'mineen
hazrate sayyidatuna
aaysha siddiqa رَضِی اللّٰهُ تَعَالَ عَنهُما
rivayat karti hai
hazrate hamza
bin amr ve aslami
رَضِی اللّٰهُ عَنهُ
bahut roze rakha
karte the ! unhone
tajdare risalat shehan
shahe nubuvvat pekare
judo sakhawat sarapa
rehmat rabbul izzat
عزوجل وَسَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَ اٰلَهِ وَسَلَّم
se daryaft kiya ,safar
me roza rakhu?
aap عَلَیهِ السَّلاَم ne
irshad farmaya :
CHAHE RAKHO,
CHAHE NA RAKHO !
(sahi Bukhari, jild 1 safha
640 hadees 1943)
(2) : hazrate sayyiduna
Abu sa'yid khudri
رَضِی اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ
farmate hai, solahwi
ramazanul mubarak ko
sarvare kainat shahe
mojudat صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَاٰلِهِ وَسَلَّم
ke sath ham jihaad me gaye,
ham me ba'z ne roza rakha
Aur ba'z ne na rakha !
na to rozadaaro ne ger
rozadaaro par aib lagaya
Aur na inhone un par !
(sahi muslim safha 564
hadees 1116)
(3) : hazrate sayyiduna
anas bin maalik
ka'bi رَضِی اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ
se rivayat ha ki madine
ke taajdar , garibo ke
gam gusaar ِصَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَاٰلِِِِه
وَسَلَّم
ka farmane khush gawaar
hai : Allahعزجل ne
musafir se Aadi namaz
mu'aaf farmadi (ya'ni
char4 rak'at wali farz
namaz do2 rak'at padhe)
Aur musfair Aur dudh
pilane wali Aur haamila
se roza mu'aaf farmadiya !
(ki ijazat hai us waqt na
rakhe ba'ad me woh
miqdaar puri karle !
(Jamey tirmizi, jild 2
safha 170, hadees :715)
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon