AAQA KA MAHINA

                    AAQA KA MAHINA

      

Rasule Akram, Noore Mujassam, Shahe Bani Aadam, Nabiyye Muhtasham Shafaye Umam ka Sha’banul Muazzam ke bare me farmane mukarram hai : “Shaban Mera Mahina hai aur Ra-mazan Allah Ka Mahina Hai”.
Ref: 📓 Al Jameyus-sagir Lissuyuti, S:1, Hadis:4889, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No. 2


   
Post No.: 0⃣2⃣
Sha’ban Ke Panch Huruf Ki Baharen ↴
سبحان الله عزوجل !
Mahe Sha’banul Muazzam ki A-za-maton par qurban ! iski fazeelat ke liye itna hi kaafi hai ki hamare Meethe Meethe Aaqa Makki Madani Mustafa صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ne ise “MERA MAHINA” farmaya. Sayyiduna Gause Aazam, Mahbube Subhani, Kindile Noorani, Shaikh Abdul Qadir Zilani رحمة الله تعالي عليه Hambali lafz “SHA’BAN” ke paanch huruf : “ش، ع، ب، ا، ن“ ke muta’allik nakl farmate hai :
ش
Se murad “Sharaf” yaa’ni Buzurgi
---------------------------------------------------
ع
Se murad “Uluvv” yaa’ni Bulandi
---------------------------------------------------
ب
Se mirad “Bir” yaa’ni Ehsan wa Bhalayi
---------------------------------------------------
ا
Se “Ulfat” aur
---------------------------------------------------
ن
Se murad “Noor” hai
---------------------------------------------------
to ye tamam cheezen Allah Ta’aala apne bande ko is mahine me ata farmata hai, ye wo mahina hai jisme Nekiyon ke darwaze khol diye jate hai, Ba-rakaton ka nuzool hota hai, Khatayen mita di jati hai aur Gunahon ka kaffara ada kiya jata hia, aur Khairul Bariyya, Sayyidul Wara Janabe Muhammade Mustafa صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم par Durude Paak ki kasrat ki jati hai aur ye Nabiyye Mukhtar صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم par Durud bhejne ka kahina hai.
Ref: 📓 Gunyatut-talibin, J:1, S:342,341, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 2-3


   
Post No.: 0⃣3⃣
Sahaba-e-Kiram عليهم الرضوان Ka Zazba ↴
Hazrate Sayyiduna Anas Bin Malik رضي الله تعالي عنه farmate hai : “Mahe Sha’ban ka chaand nazar aate hi Sahaba-e-Kiram عليهم الرضوان tilawate Qurane Paak ki taraf khoob mutavajjeh ho jate, apne amwal ki Zakat nikaalte taaki gu-raba wa masakeen Musalman Mahe Ra-mazan ke Rozon ke liye tayyari kar sake, hukkaam qaidiyon ko talab kar ke jis par “Had” (Saza) kayim karni hoti uspar had kayim karte, bakiyya me se jinko munasib hota unhe azaad kar dete, tazir apne karze ada kar dete, dusron se apne karze wasool kar lete. (Yun Ra-mazan Sharif ka Chaand nazar aate hi Gusl karke (baa’z Hazrat) E’tikaaf me baith jate.”
Ref: Gunyatut-talibin, J:1, S:342,341
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 3


   
Post No.: 0⃣5⃣
Nafli Rozon Ka Pasandida Mahina ↴
-----------------------------------------------------
Meethe Meethe Islami Bhaiyon !
Hamare Dilon Ke Chain,
Sarware Kaunain صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Mahe Sha’ban me kasrat se Roza rakhna pasand farmate
Hazrate Sayyiduna Abdulla Bin Abi Kais رضي الله تعالي عنه se marvi hai ki unhone
Ummul Mu’aminin
Sayyidatuna Aaisha Siddiqa رضي الله تعالي عنها ko farmate suna :
Mere Sartaj,
Sahibe Meraj صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ka Pasandida Mahina Sha’banul Muazzam tha ki isme Roza rakha karte fir use Ra-mazanul Mubarak se mila dete.
Ref: 📗 Sunane Abu Dawood, J: 2, S: 476, Hadis: 2431, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
Log Is Se Gaafil Hai ↴
-------------------------------
Hazrate Sayyiduna Usama Bin Zaid رضي الله تعالي عنه Farmate hai, Maine Arz ki:
Ya Rasoolullah صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ! Mai dekhta hu ki jis tarah Aap صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم
Sha’ban me Roze rakhte hai is tarah kisi bhi mahine me nahi rakhte ? farmaya : RAJAB aur RA-MAZAN ke beech me ye mahina hai, log is se Gaafil hai, is me logon ke Aa’mal Allahu Rabbul Aa-lameen عزوجل ki taraf uthaye jate hai aur mujhe ye mahboob hai ki mera amal is haal me uthaya jaye ki mai Rozadar hu.
Ref: 📘 Sunan Nasayee, S: 387, Hadis: 2354, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 4-5

   
Post No.: 0⃣7⃣
Aaqa Sha’ban Ke Aksar Roze Rakhte ↴
Bukhari Sharif me hai: Hazrate Sayyidatuna Aaisha Siddiqa رضي الله تعالي عنها farmati hai ki Rasoolullah صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Sha’ban se jiyada kisi mahine me Roze na rakha karte balki poore Sha’ban hi ke Roze rakh liya karte the aur farmaya karte : apni istita’at ke mutabik amal karo ki Allah عزوجل us waqt tak apna Fazl nahi rokta tab tak tum ukta na jaao.
Ref: 📕 Sahih Bukhari, J: 1, S: 648, Hadis: 1970, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
Sharehe Bukhari Hazrate Allama Mufti Muhammad Shriful Haq Amjadi رحمة الله تعالي عليه is Hadise Paak ke tahat likhte hai : murad ye hai ki Sha’ban me aksar dino me Roza rakhte the ise tagliban (yaa’ni ga-labe aur jiyadat ke lihaz se) kul (yaa’ni sare mahine ke roze rakhne) se ta’beer kar diya. Jaise kahte hai : “fula ne poori raat ibadat ki” jabki usne raat me khana bhi khaya ho aur zaruriyyat se faragat bhi ki ho, yaha tagliban aksar ko kul kah diya. Majeed farmate hai : is Hadis me ma’lum hua ki Sha’ban me jise kuvvat ho jiyada se jiyada roza rakhe. Albatta jo kamzor ho wo roza na rakhe kyu ki is se Ra-mazan ke rozon par asar padega, yehi mahmal (yaa’ni murad wa maksad) hai un Ahadis ka jinme farmaya gaya ki Nisfe Sha’ban ke baa’d roza na rakho. (Tirmizi, Hadis: 738)
Ref:📘 Nuzhatul Qari, J: 3, S: 377,380, Farid  Bik Assal Markaz Al Auliya Lahaur
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 6

   
Post No.: 0⃣8⃣
Sha’ban Ke Aksar Roze Rakhna Sunnat Hai ↴
Ummul Mu’aminin Sayyidatuna Aaisha Siddiqa رضي الله تعالي عنها
rivayat farmati hai : Huzure Akram, Noore Mujassam, Shahe Bani Aadam, Rasule Muhtasham, Shafeye Umam صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ko maine Sha’ban se jiyada kisi mahine me roza rakhte na dekha. Aap sivaye chand dino ke poore hi maah ke roze rakha karte the.
Ref: Sunane Tirmizi, J: 2, S: 182, Hadis: 736, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
💎   Sunnaton Pe Chal Kar Meri Rooh Jab Nikal Kar
Chale Tum Gale Lagana Madani Madine Wale.
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 7

   
Post No.: 0⃣9⃣
Bhalaaiyon Wali Raten ↴
Ummul Mu’aminin Sayyidatuna Aaisha Siddiqa رضي الله تعالي عنها
rivayat farmati hai : maine Nabiyye Karim, Rauf-ur-Rahim صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ko farmate suna : Allah عزوجل (khaas taur par) chaar raaton me bhalayi ke Darwaze khol deta hai :
(1) Bakar Eid Ki Raat
(2) Eidul Fitr Ki Raat
(3) Sha'ban Ki Pandarahvi Raat Ki Is Raat Me Marne Walon Ke Naam Aur Logon Ka Rizk Aur (is saal) Haj Karne Walon Ke Naam Likhe Jate Hai
(4) A-rafa Ki (yaa'ni) 8 aur 9 Zul Hijja Ki Darmiyani Raat Azane (Fazr) Tak.
Ref: 📗 Tafseer Durre Mansoor, J:8, S:402, Daarul Fakar Bairut
Nazuk Faisale ↴
---------------------------
Meethe Meethe Islami Bhaiyon ! Pandarah Sha'ban ki raat kitni naazuk hai ! na jane kiski Kismat me kya likh diya jaye ! baa'z avkaat banda Gaflat me pada rah jata hai aur uske baare me kuch ka kuch ho chuka hota hai. "Gunyatut-talibin" me hai : bahut se KAFAN dhul kar tayyar rakhe hote hai magar pahanane wale bazaron me ghoom fir rahe hote hai, kaafi log aise hote hai ki unki QABREN khudi huyi tayyar hoti hai magar unme Dafn hone wale khushiyon me mast hote hai, baa'z log Has rahe hote hai halanki unki MAUT ka waqt kareeb a chuka hota hai. Kayi Makanaat ki tamirat ka kaam poora ho gaya hota hai magar sath hi unke malikaan ki zindagi ka waqt bhi poora ho chuka hota hai.
Ref: 📕 Gunyatut-talibin, Jild: 1, Safha: 348
🔻Aagah Apni Maut Se Koi Bashar Nahi
Samaan Sau Baras Ka Hai Pal Ki Khabar Nahi..
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 8

   
Post No.: 1⃣0⃣
Dhero Gunah Gaaro Ki Magfirat Hoti Hai Magar......... ↴
Hazrate Sayyidatuna Aaisha Siddiqa رضي الله تعالي عنها se rivayat hai : maine Huzur Sarapa Noor, Faiz Ganzoor صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ne farmaya : mere paas Jibrayeel ( عليه السلام ) aaye aur kaha ye Sha'ban ki Pandarahvi raat hai isme Allah Ta'aala Jahannam se itno ko azaad farmata hai jitni bani qalb ki bakariyon ke baal hai magar Kafir aur "Adawat Wale" aur Rishta Kaatne Wale aur Kapde Latkane Wale aur Walidain ki Na-farmani Karne Wale aur Sharab ke aadi ki taraf Nazre Rahmat nahi farmata.
Ref: 📗 Shoa'bul Imaan, J:2, S:384, Hadis 3837
(Hadise Paak me "Kapda Latkane Wale" ka jo bayan hai, is se murad wo log hai jo Takabbur ke sath Takhno ke neeche Tahband ya Pajama wagaira latkate hai) karodo hambaliyon ke Azeem Peshwa Hazrate Sayyiduna Imaam Ahmad Bin Hambal  رضي الله تعالي عنه ne Hazrate Sayyiduna Abdullah Ibne Amr رضي الله تعا لي عنهما se jo rivayat naql ki usme Qaatil ka bhi zikr hai.
Ref: 📘Musnade Imaam Ahmad, J:2, S:589, Hadis: 6653, Darul Fakar Bairut
Hazrate Sayyiduna Bin Murrah رضي الله تعا لي عنهما se rivayat hai. Tajdare Risalat, Sarapa Rahmat صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ne farmaya : Allah عزوجل Sha'ban ki Pandarahvi Shab me tamam zameen walo ko bakhsh deta hai sivaye Mushrik aur Adavat Wale ke.
Ref:📕 Shoa'bul Imaan, J:3, S:381, Hadis 383, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 9

   
Post No.: 1⃣1⃣
Mahroom Log ↴↴ ↴

Meethe Meethe Islami Bhaiyon ! Shabe Bara’at behad aham raat hai, kisi soorat se bhi ise Gaflat me na guzara jaye, is raat khususiyyat ke sath Rahmaton ki Chamacham Barsat hoti hai. Is Mubarat Shab me Allah Taba-rak wa Ta’aala “Bani Qalb” ki bakariyon ke baalon se bhi ziyada logon ko Jahannam se azaad fermata hai. Kitabon me likha hai : “Kabila-e-Bani Qalb” kabaaile arab me se ziyada bakari paalta tha.” Aah ! Kuch bad naseeb aise bhi jinpar is Shabe Bara’at yaa’ni chutkara pane ki raat bhi na bakhshe jane ki waeed hai. Hazrate Sayyiduna Imaam Baihaki Shafeyi رحمة الله تعالي عليه “Fazailul Avkat” me nakl karte hai : Rasule Akram, Noore Mujassam صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم
 ka farmane ibrat nishan hai : Ccha aadmiyon ki is raat bhi bakhshish nahi hogi :

1) Sharab Ka Aadi
2) Ma Baap Ka Na Farman
3) Zina Ka Aadi
4) Qat-e-Ta’alluk Karne Wala
5) Tasveer Banane Wala Aur
6) Chugul Khor

Ref: 📕Fazailul Avkat, J:1, S:130, Hadis: 27, Maktabatul Manadat, Makkatul Mukarrama
Isi tarah KAAHIN, JADUGAR, TAKABBUR ke sath Pajama ya Tahband takhno se neeche latkane wale aur Kisi Musalman Se BUGZO KEENA rakhne wale par bhi is raat Magfirat ki sa’adat se mahrumi ki waeed hai, chunanche tamam Musalmano ko chahiye ki mu-tazakkara Gunaho me se agar معاذ الله عزوجل kisi Gunah me mulavvas ho to wo bil khusoos us Gunah se aur bil umoom har Gunah se Shabe Bara’at ke aane se pahle balki aaj aur abhi sacchi pakki Tauba kar le, aur agar bando ka hak talfiyan ki hai to Tauba ke sath sath unki mua’afi talafi ki tarkeeb farma le.
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 10-11

   
Post No.: 1⃣2⃣
Pandarah Sha'ban Ka Roza ↴↴ ↴

Hazrate Sayyiduna Aliyyul Murtaza Shere Khuda رضي الله تعالي عنه se marvi hai ki Nabiyye Karim, Rauf-ur-Rahim صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم ka farmane azeem hai : Jab pandarah Sha'ban ki raat aaye to usme kiyam karo (yaa'ni ibadat karo aur din me roza rakho. Beshak Allah Ta'aala gurube aftaab se aasmane duniya par khas tajalli farmata hai aur kahta hai : Hai Koi Mujhse Magfirat Talab Karne Wala Ki Use Baksh Du ! Hai Koi Rozi Talab Karne Wala Ki Use Rozi Du ! Hai Koi Museebat Zada Ki Use Aafiyyat Ata Karu ! Hai Koi Aisa ! aur ye us waqt tak farmata hai ki Fazr tulu'a ho jaye."
Ref: 📕 Sunane Ibne Maza, J:2, S:160, Al Hadis:1388, Darul Ma'arifat Bairut
📚 Book : Aaqa Ka Mahina, Page No.: 13
✒ Author : Hazrat A’llama Mualana Abu Bilal Muhammad Ilyaas Attar Qadiri Razavi            
📇 Published By : Makataba-tul-Madina, Gujarat


Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment