SURAYE WAQEA KE FAZAIL
(1) ye Surat bahut hi ba- b- r- kat hai hazrate sayiduna anas (رَضِیَ اللهُ تَعالٰی عَنهُ) se riwayat hai ki rasoole Akram (صَلَّی اللّٰهُ تَعالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم) ne farmaya : suraye vaqeaa tavangri(yani khushali ) ki surat hai lihaza ise pado or apne baccho ko sikhao!
(Ruhul amen , ji , s.180)
(2) : hazrate sayyeduna ibne masud(رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ) m- rjul mout me mubtala the hazrate usman (رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ) unki iyadat ke liye tashrif le gaye Aur unse farmane lage ki Agar me tumhe khajane se kuch Ata kardu to kesa hai ? Unhone farmaya : muje iski koi zarurt nhi ! Hazrate usman ( رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ) ne farmaya: baad me tumhari bacchiyo ke kaam aayega! Ibne masud(رضي الله تعالى عنه ) ne kaha: tum meri bacchiyo ke mu- tallik fakro faka se darte ho mene inko hukum diya hai ki WO har rat suraye vaqea padha kare, me ne rasoole Akram (صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم) ko ye farmate hue suna ki jo aadmi har rat suraye vaqea padega woh kabhi fakro faka me mubtala nahi hoga!
Ehle bet se husne suluk
Amerul moamenin hazrate Aliyyul murtza shere khuda(کَرَمَّ اللّٰهُ وَجهَهُ الکَرِيم) se riwayat hai, Allah (عَزَّوَجل) ke mahbub danaye gayub munazzhun Anil guyub (صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم) farmate hai:
" Jo mere ehle bet me se kisi ke sath acha suluk karenge , me roze qiyamat iska sila use Ata farmaunga !"
(All jamiussagir lissuyuti , all hadis:8821,se 533)
U- lma ki shan
Allah (عَزَّوَجل) ke mehbub, danaye gayub, munazzhul , Anil guyub(صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم) ka farmane purnoor hai : jannati jannat me u- lmae kiram ke mohtaz honge, isliye ki woh har jumma ko Allah ta'la ke didaar se musharraf honge! Allah ta'la farmayega :()yani mujse mango, Jo chaho! Woh jannati u-lmaye kiram ki taraf mu- tavajjeh honge ki Apne rabbe kareem se kya mange? Wo farmange :"ye mango WO mango!" Jese WO log duniya me u- lmae kiram ke mohtaz the, jannat me bhi unke mohtaz honge!
("Al firdose bima surul khitab" , hadis:880,ji .1,se 230 v " jamiussagir" lissayeyuti, all hadis :2235,se 135)
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon