"MADNI INAAMAT" KE 9 HURUF KI NISBAT SE SURAYE MULK KE 9 FAZAIL

MADNI INAAMAT KE 9HURUF KI NISBAT SE SURAYE MULK KE 9 FAZAIL







(1) : hazrate sayyiduna Abu hurera رضي الله تعالى عنه ) se riwayat hai ki maliko bharo bar , husne Akhlaq ke pekar , nabiyo ke tajwar, mehbube rabbe Akbar(صلى الله تعالى عليه وسلم ) ne farmaya :" be shak quraan Sharif me 30 aayato par mushtamil ek Surat hai  Jo apne kaari ke liye shafa`at karti rahegi yaha tak ki uski magfirat kardi jaegi aur yeh (تباركالزي بيا دهل ملك  ) hai ! "

(Su- nuntimrizi , hadis :  2900,Ji. 4,se 408)







(2):  hazrate sayyiduna  Anas (رضي الله تعالى عنه ) se riwayat hai ki rehmate Aalam nure mujassam , rasoole Akram (صلى الله تعالى عليه وسلم ) ne farmaya : quraane Karim me ek aayat hai jo apne kari ke liye jhagda karegi yaha tak ke usko jannat dila degi or WO yahi sure mulk hai!

 ( addurul manshur , Ji. 8, se 233)








(3): hazrate sayyiduna Abdullah bin masuud (رضي الله تعالى عنه ) farmate hai ki " jab banda kabar me jaega to Azaab us ke kadmo ki janib se Aayega to uske kadam bolenge tere liye yahase koi rasta nhi kyu ki ye rat me sure mulk pada karta tha , fir Azaab uske sine ya pet ki taraf se Aayega to WO kahega meri janib se tere liye koi rasta nhi hai kyu ki ye rat me sure mulk pada karta tha, fir WO uski sar ki taraf se Aaega to sar kahega tumhare liye meri taraf se koi rasta nhi hai kyu ki ye rat me sure mulk pada karta tha!"
To ye surat rokne wali hai , Azaabe kabar se rokti hai , toret me iska naam suraye mulk hai Jo ise ratme padte hai bahut ziyada aur Acha Amal karta hai!"

( all mustdarak alsshihen, hadis: 3892,Ji. 3,se 322)



related post
`` fatah ke teen huruf ki nisbat se suraye fatah ke teen fazail





(4): hazrate ibne Abbas (رضي الله تعالى عنه ) farmate hai ki ek sahabi(رضي الله تعالى عنه ) ne ek kabar par ek khema lagaya magar unhe ilm na tha ki yaha kabar hai lekin baad me pta chala ki waha kisi shaks ki kabar hai Jo suraye mulk pad raha hai aur usne puri Surat khatam ki woh sahabi(رضي الله تعالى عنه ) rehmate Aalam(صلى الله تعالى عليه وسلم ) ki bargha me hazir hue Aur Arz kiya : "ya mere Aaqa ! (صلى الله تعالى عليه وسلم ) me ne ek kabar par ek khema taan liya magar muje malum na tha ki waha kabar hai jab ki waha ese shaks ki kabar hai Jo ki rozana puri su- ratul mulk padta hai!" To Aaqa (صلى الله تعالى عليه وسلم ) NE farmaya: yehi rokne wali hai , yehi nijat dilane wali hai jisne use Azaabe kabar se mehfuz rakha!"

 (Su- nanutirmizi , hadis:  2899,Jild.4, safha.407)










(5): huzure Akram(صلى الله تعالى عليه وسلم ) ka farmane Aalishan hai ki meri khuwahish hai ki (تباركالزي بيا دهل ملك ) har momin ke dil me ho!

( kanzul ummal,hadis:2645, Jild. 1, safha.291)



(6): chand dekh kar isko pada jaye to mahine ke 30 dino tak woh sakhtiyo se(انشاءالله عزوجل ) mehfuz rahega, isliye ki wo 30 Aayate hai aur 30 din ke liye kafi hai!

(Tafsire ruhul maani , su- ratul mulk, Jild.15, safha4)








(7): hazrate sayyiduna ibne Abbas(رضي الله تعالى عنه) farmate hai ki mithe mithe Aaqa, makki ma-dni mustafa (صلى الله تعالى عليه وسلم ) ne irshad farmaya :beshak me quran me 30 Aayat ki ek Surat paata hu, Jo shaks sote waqt is (Surat)ki tilavat kare , uske liye 30 nekiya likhi jayegi, aur uske 30 gunah mitaye jayenge, aur uske 30 da-rajat buland kiye jayenge, rabbul izzat apne firishte me se ek firishta uski taraf bhejega, taki woh apne par bicha de aur uski har chez se jaghne tak uski hifazat kare,aur ye muja-dla(ya-ni jhaghda) karne wali hai, apne padne wale ke liye magfirat ke liye kabar me jhagdha karegi , aur (تباركل لذي  بيا دهل ملك ) hai!

(Addurul mansur, Jild.8,safha.233)






(8) :sarkare madinaye munavvara sarakare makkaye mukarrama (صلى الله تعالى عليه وسلم ) raat ko Araam farmane se pehle suratul mulk aur (سورتول ملك أور ألم تنزيل لسجده )



(Tafsire ruhul bayan, su- ratul mulk ,Jild safha 98)



related post
``yaasin sharif ki barkat ke 16 huruf ki nisbat se yaasin sharif ke 16 fazail






(9): hajrate sayyedina ibne Abbas (رَضي اللهُ تَعالٰی عنه) n ek admi se farmaya: kya me tuje ek hadis tohfe ke tor par na du jiske sath tu khush na ho jaye, usne Arz ki  beshak ! To aap(رضي الله تعالٰی عنه) ne farmaya: ye sureh pado: (تبارکل الزي بیا دهل ملک) aur is Surat ko apne Ahlo ayal, apne tamam bacho, apne ghar ke bacho or apne padhosiyo ko sikhao(is ki inhe ta- lim do)kyu ki ye najat dilane wali hai aur kayamat ke din apne kari ke liye apne rab ke pass jhaghadne wali hai,aur ye use talash karegi taki use jehnnum se najat dilaye aur iske sab iska kari Azaab se bhi najat pa jayega!

 ( addurul mansur, Jild.8, safha 231)



mera facebook page zarur like karen

http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com

Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment