NAMAZE JANAZA KA TARIKA
(Ha-nafi)
==============================Post # 20
JANAZE KO KANDHA DENE KA SAWAB
Hadise Paak me hai jo Janaze ko chalees40 kadam lekar chale
uske chalees kabira gunah mita diye jayenge.
Ref: Attarabarani Fi Al Ausat, J: 4, S: 260, Hadis: 5920, Darul Kutubul Ilmiyya Bairut
Neez Hadis Sharif me hai, jo Janaze ke Charo paayon ko kandha de Allah uski hatmi (yaa'ni mustakil) magfirat farma dega.
Ref: Al Johratul Neera, J: 1, S: 139
Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 388-389, Maktabatul Madina, Gujarat
´JANAZE KO KANDHA DENE KA TARIKA
Janaze ko kandha dena ibadat hai.
Ref: Tarar Khaniya, J: 2, S: 150
Sunnat ye hai ki yake baa'd deegare chaaro paayo ko kandha de aur har baar dus10 dus10 kadam chale.
Ref: Aizan
Poori Sunnat ye hai ki pahle seedhe sirhane kandha de fir seedhi paainti (yaa'ni seedhe paau ki taraf) fir ulte sirhane fir ulte paainti aur dus10 dus10 kadam chale to kul chalees40 kadam huye.
Ref: Maraqi Al Falaah Ma'a Hashiya Al Tahtawa, S: 604
Baa'z log juloos me ailan karte rahte hai, do2 do2 kadam chalo ! Unko chahiye ki is tarah ailan kare "har paaye ko kandhe par liye dus10 dus10 kadam chaliye.
Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 389, Maktabatul Madina, Gujrat
Post # 22
BACHE KA JANAZA UTHANE KA TARIKA
Chote bacche ke Janaze ko agar ek shakhs hath par utha kar le chale to haraj nahi aur yake baa'd deegare log hatho hath lete rahe.
Ref: Al Bahr Al Raaiq, J: 2, S: 335
Aurraton ko (baccha ho ya bada kisi ko bhi) Janaze ke sath jana na jaayiz wa mamnu'a hai.
Ref: Durre Mukhtar wa Raddul Muhtar, J: 3, S: 162
Namaze Janaza Ke Baa'd Wapasi Ke Masaayil
Jo shakhs Janaze ke sath ho use bigair Namaz padhe wapas na hona chahiye aur Namaz ke baa'd auliyae mayyit (yaa'ni marne wale ke sar paraston) se izazat lekar wapas ho sakta hai aur dafn ke baa'd izazat ki haajat nahi.
Ref: Aalamgiri, J: 1, S: 162
To be cont'd.............
Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 389-390, Maktabatul Madina, Gujarat
BARAYE KARAM MERA FACEBOOK PAGE LIKE KARNA NA BHULE
ALLAH KAREEM AAP KI HAR NEK JAIZ TAMANNA PURI KARE
امین
http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon