HAWA SE ILAJ (GHARELU ILAJ)
khuli hawa me (behtar fajr ka waqt ) Ahista se saans lena shuru kijiye Aur jitna ghehra le sakte hai lijiye phir jitni der tak Andar rok sakte hai rok lijiye rozana kam az kam 40 bar is tarah kijiye ! (kaam kaaz karte hue ya mariz bistar par lete lete bhi ye Amal kar sakte hai) ye Amal mukhtalif Amraaz bil khusus zeekunnafas (ya~ni dama ) Aur fepdho ki bimariyo ke liye mufeed hai , mariz Agar ye saans ki varjish kare to [اِن شا ءَالله عَزَّوَجَل] ruba sihat ho Aur sihat mand kare to Amraaz se hifazt ho [اِن شا ءَالله عَزَّوَجَل] sage madina [عُفِ عَنُ] ( raqimul huruf ) ko ek budhe haakim ne bataya tha ki woh saans lene ke baad ek yaa do ghante tak Andar hi rok lete hai Aur is dauran Avrado vazaif vageah bhi padlete hai magar [الحمد لِللّٰه] saans nahi tut ta! ( ye sab mashk karne se Asakta hai
DHUP KI AHMIYAT
Allah ki ek bohot badhi nemat bhi hai Aur iski dhup me bahut saare favaid rakhe gaye hai ! jisme insani ki sihat ke liye dhup ka aehem kirdaar hai ! ek kahawat hai : jis ghar me suraj dakhil nahi hota us ghar me dpctor dakhil hota hai !`` be shumaar jarasim aise hote hai jo dhup Aur taza hawa se mar jate hai! chunanche jin gharo me khidkiyan mehez gardo gubaar ke khauf se har waqt band rakhi jati hai , Aur unme dhup Aur taza hawa nahi pohoch pati, waha tarah tarah ke jarasim parvarish pate Aur khub bimariya felate hai, lihaza din ka Aksar waqt khidkiyan khuli rakhni chahiye ! har kamre me Aamne samne do khidkiyan is tarah banvayi jaye ki ek se taza hawa dakhil ho Aur dusri se bahar nikalti rahe! sirf ek khidki khuli rakhna kafi nahi hota, Agar Aamne samne do khidkiyan na ho to phir khidki Aur darwaze ki Aisi tarkib ho ki ek taraf se hawa dakhil ho Aur dusri taraf se kharij !
http://ruhanighareluilaj.blogspot.com
http://ruhanighareluilaj.blogspot.com
2 Post a Comment
Click here for Post a Commentnice
Replymere pyare visitoro aap se ek request h muje comment karke zarur bataya karen ye post kesi lagi agar kuch kami hoto me sudhar saku achi lage to me fir se ek achi post dobara se likh saku to pls comment zarur kara karen
ReplyDOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon