GERE DOCTOR KO ILAJ ME HATH DALNA HARAAM HAI

GERE DOCTOR KO ILAJ ME HATH DALNA HARAAM HAI



mithe ithe islami bhaiyo !ba'az log haqiqi ma'ano me ba qaida doctor ya hakeem na  hone ke ba vajud clinic ya matab khol kar marizo ka ilaj shuru kar date hai !Aisa karna qanunan jurm hone ke sath sath shar'an bhi mamnu hai !neez ek fan ka maahir dusre fanke tarike ilaj ke mutabik marizo par tajribaat nakare !maslan elopetic ya homyopetic ya baiyokemi wale
  doctors ba qaida seekhe biger ek dusre ke
 sho'be ( department) ki dawao se Aur yunani doctor ( hikmat ke mutabik ilaj na
 farmaye ! isi tarah Jo hakeem sahibaan ba qaida doctor nahi hai woh bhi jadi butiyo ke sath sath doctori dawaye marizo par na Aazmaye ! medical store wale bhi Apni
 samaj ke mutabik marizo ko dawayen na diya Karen! Aur  youn bhi biger doctor ki chitti ke dawa bechna qanunan
 jurm hai ! ba'az logo ki Aadat hoti hai ki jahan kisi se mulaqat hui jhat koi na koi dawa ya nuskha farma date hain ! yaad rakhiye !Jo maahir doctor na ho us ko
 mariz ke ilaj me hath dalna kaare sawab nahi balki haraam Aur jahannam me le Jane wala kaam hai Agar koi Aisa gere maahir doctor clinic ya dawakhana khol kar
 marizo ka ilaj karne beth gaya ho to foran yeh na jaiz kaam band karna farz hai Aur toba ke taqaze bhi pure karne honge !
Han ger doctor matab ya'ni dawakhana khol rakha hai magar khud ilaj nahi karta balki maahir doctor bitha rakhe hai to koi muzaika nahi !









MAAHIR DOCTOR KI TA'ARIF


 mere Aaqa A'ala hazrat imame Ahle Sunnat moulana shah imam Ahmad raza Khan عَلَيهِ رَحمَةُالرَّحمٰن ne fatawa razaviya jild 24 safha 206 par suwal ke jawab me Jo kuch Irshad farmaya uska ba'az hissa Aasan lafzo me pesh karne ki koshish karta hun :
chunanche farmate hai : na Ahal ya'ni Jo pura doctor na ho usko ilal me hath dalna haraam hai Aur iska tark farz hai! jisne fanne doctore haaziq ya'ni maahire doctor ke matab ( dawakhana) me reh kar kaam kiya Aur tajriba haasil hua! Aksar mariz uske hath par shifa pate hon Agarche marizo ka kam hissa shifa pane me na kaam bhi rehta ho ! be ilm tajribe kaar ya'ni neem hakeem Jo ki tashkhis ya'ni marz ki shanakht Aur ilaj me jis tarah ki fahish galtiyan ya'ni Badi Badi khatayen kiya karte hain is tarah ki bhulen na karta woh laaik doctor hai !Aise maahir doctor se ba'az Avqat tashkhis ( ya'ni marz ki shanakht) ya ilaj me galti waqe ho jaye to usko na Ahal nahi kaha jayega ki galti se Ambiya عَلَيهِمُ الصَّلٰوةُوَالسَّلاَم ma'asum hai v bas وَللّٰهُ تَعَالٰی اَعلَم


Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment