BEEMAR AABID

◉ ◉ ◉ BEEMAR AABID ◉ ◉ ◉
========================
--------------------------
Post No. 0⃣3⃣
--------------------------
Continued......
☞ ▶ Beemari Me Momin Aur Munafik Ka Fark⤵
Rasulullah صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم
ne Beemariyon ka zikr karte huye farmaya : Momin jab Beemar ho fir accha ho jaye, uski Beemari sabika gunahon se kaffara ho jati hai aur aayinda ke liye naseehat aur Munafik jab Beemar hua fir accha hua, uski misaal us Oont ki hai ki maalik ne use baandha fir khol diya to na use ye ma'lum ki kyu baandha, na ye ki kyu khola.
Hadise paak Ki Sharh : Mufassire Shahir Hakimul Ummat Hazrate Mufti Ahmad Yaar Khan رحمة الله تعالي عليه
is Hadise Paak ke tahat “Mir’aat” Jild 2 Safha 424 par farmate hai : kyuki Momin Beemari me apne gunahon se Tauba karta hai, wo samajhta hai ki ye Beemari meri kisi Gunah ki wajah se aayi aur shayad ye aakhiri Beemari ho jiske baa’d Maut hi aaye, is liye ise shifa ke sath magfirat bhi naseeb hoti hai. (Jab ki) Munafik Gaafil ye hi samajhta hai ki fula wajah se mai Beemar hua tha (ma-salan fula cheez kha li thi, mausam ki tabdili ke sabab Beemari aayi, aaj kal is Beemari ki hawa chal rahi hai vagairah) aur fula dawa se mujhe araam mila (vagairah vagairah) asbaab me aisa fansa rahta hai ki Musabbibul Asbaab (yaa’ni sabab paida karne wale Rab عزوجل ) par nazar hi nahi jaati, na Tauba karta hai na apne Gunahon me gaur.
Ref: 📕 Mir’aatul Manajeeh)
Maraj Usi Ne Diya Hai Dawa Wohi Dega,
Karam Se chahega Jab Bhi Shifa Wohi Deg

To be cont'd..............↩
📚 Book : Beemar  Aabid (Hindi), Page No.: 3, Maktabatul Madina, Gujarat
✒ Author : Hazrat A’llama Mualana Abu Bilal Muhammad Ilyaas Attar Qadiri Razavi              
📇 Published By : Makataba-tul-Madina, Gujarat

(Agar likhne me kisi bhi jagah kami beshi paye to hamari Islah farmaye,



http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com
Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment