BEEMAAR AABID

◉ ◉ ◉ ◉ ◉ ◉ BEEMAR Aabid
========================
------------------ --------
Post No. 1
--------------------------
☞ ▶ Beemar Aabid ⤵
Hazarat Sayyiduna Vahab Bin Munabbe رحمة الله تعالي عليه se mankool hai: do Aabid yaa'ni ibadat guzar pachaas saal tak Allah عزوجل ki ibadat karte rahe, pachasave saal ke akhir me unme se ek Aabid sakht beemar ho gaye, wo Bargahe Rabbe Baari عزوجل me aaho zaari karte huye is tarah multazi huye (yaa'ni iltija karne lage): Aye mere Paak Parwar Dagaar عزوجل! maine itne saal musalsal tera hukm ma'na, Teri ibadat baza laya fir bhi mujhe beemari me mubtala kar diya isme kya Hikmat hai? mere Maula عزوجل! mai to aazmayish me daal diya gaya hu. "Allah عزوجل ne Firishton ko hukm farmaya: inse kaho," tumne hamari hi imdad wa ahsaan aur ata karda taufeek se hamari ibadat ki sa'adat payi, baaki rahi beemari! to humne tumko Abraar ka Rutba dene ke liye beemar kiya hai. Tumse pahle ke log to beemari wa museebaton ke khwahish mand hua karte the aur humne tumhe bin manage ata farma di.
REF: 📕Uyunul Hiqayat, Hisaa: 2, S: 312, Batasarraf To Cont'd BE .............. ↩

📚 Book: Beemar Aabid (Hindi), Page No .: 1-2, Maktabatul Madina, Gujarat
✒ Author: Hazrat A'llama Mualana Abu Bilal Muhammad Ilyaas Attar Qadiri Razavi              
📇 Published By: Makataba-tul-Madina, Gujrat



http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com
Previous
This is the oldest page

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment