QURBANI KE MASAIL
AAIYE JANTE HAI QURBANI KIS KIS PAR KARNA VAJIB HAI QURABNI KE LIYE OONT KITNE SAAL KA HONA CHAHIYE ?
AUR BHENS KITNE SAAL KI HONI CHAHIYE? AUR BAKRA, BAKRI, DUMBA, DUMBI, BHEDH KITNE SAAL KI HONI CHAHIYE ! SUWAL JAWAB KI SURAT MEIN
(1) QURBANI KISE KEHTE HAI?
JAWAB
makhsus jaanwar ko makhsus din me ba niyyate takarrub (ya.ani sawab ki niyyat se) zibah karne ka naam
qurbani hai
(bahare shariat jild 15 peg . 681)
(2) SAWAL
QURBANI KIS PAR VAJIB HAI?
JAWAB
har musalaman aaqil balig muqim aazad sahibe nisab mard ve aurat par apni taraf se qurbani vajib hai !!
(durre mukhtar jild 9peg 524)
Ya.ani islam aqal bulug iqamat aazad hona aur sahibe nisab hona yeh sab qurbani vajib hone ki sharte hai faqat mard hona hi shart nahi balki jis tarah mard par vajid hai isi tarah aurat par bhi vajib hai
SAWAL (3)
QURBANI KI FAZILAT PAR KOI HADEES BATAYE?
JAWAB
ummul mominin hazrat SAYYEDA AAYSHA SIDDIQA se rivayat hai ki huzoore akram ne farmaya ki dasvi zilhijja me ibne adam ka koi amal khudaye ta'ala ke nazdeek khun bahane ya'ani qurbani karne se ziyada piyara nahi !!
( tirmizi hadis - 1498 jild . 3 peg. 83)
SUWAL (4)
kya qurbani wajib hone ke
liye maal par holane hol
(ya'ni saal guzarna) shart hai?
JAWAB
hargiz nahi, jis tarah sadqa e fitr wajib hone
ka Sabab waqt hai
jab wo waqt aya aur
sharaite wujub paye
gaye to sadqa e fitr
wajib ho gaya !!
isi tarah qurbani ka Jo waqt mukarrar hai
iske kisi hisse me
sahibe nisaab hona
wujub ke liye kafi hai
maslan ek shakhs
ibtidaye waqte qurbani
me fakeer tha aur waqt
ke andar maldaar ho gaya
to us par qurbani vajib
Ho gayi !!
(fatawa aalamgiri jild 5 peg. 293)
SUWAL
( 5) AGAR KISI SHAKHS PAR KARZ KA BOJ HO TO KYA US PAR QURBANI VAJIB HAI?
JAWAB
agar us shakhs par itna karz hai ki uske amvaal Se karz ki mikdar les ( ya'ni katoti) ki jaye to nisab baki nahi rahta hai to us par qurbani vajib nahi !!
( ezan)
SUWAL
(6) NISAB SE KYA
MURAD HAI?
JAWAB
nisab se murad Sadhe
bawan tola chandi
sadhe saat tola sona
itni maliyat ki rakam
itni maliyat ka male
tijarat ya itni maliyat
ka hajate asliya
( ya.ani zaruyate
zindagi Se zayd
samaan ho) jiski
vajah Se aadmi
sahibe nisaab
( malike nisaab ve maldar)
kehlata hai !
Suwal
(7) kisi aurat ka mehar
uske shohar ke
zimme baqi hai to
quurbai vajib hai ya nahi?
JAWAB
aurat ka mehar uske
shohar ke zimme
baqi hai aur shohar
maldar hai to us
mehar ki vajah Se
aurat ko malike
nisaab nhi mana jayga !!
agarche mehar
muazzal (jaldi vala)
ho aur agar aurat ke
paas uske siwa ba
kadre nisaab maal
nhi hai to us aurat
par qurbani vajib
nahi hogi
(fatawa Aalam giri jild 5 peg 293)
SUWAL
(8) malike nisaab ne
qurbani ke liye janvar
kharida aur ittefaqan
gum ho gaya to?
JAWAB
MALIKE NISAAB NE
QURBANI KE LIYE
JANVAR kharida aur
ittefaqan gum hogaya
aur us shakhs ka maal
nisaab Se kam ho gaya
aur Ab qurbani ka din
aya to us par yeh zaruri
nhi ki dusra JANVAR
kharidkar qurbani kare
aur bilfarz wo janvar
qurbani ke dino me
hi mil gaya aur yeh
shahs Ab bhi malike
nisaab nahi hai to us
par qurbani vajib nahi !!
(ezan)
SUWAL
(9) AGAR KOI SHAKHS
APNI SAHIBE NISAAB
BALIG AULAD YA
BIWI KI TARAF SE
QURBANI KARNA
CHAHE TO KYA ESA
KAR SAKTA HAI?
JAWAB
SAHIBE NISAB BALIG
AULAD YA BIWI KI
TARAF SE QURBANI
KARNA CHAHE to
unse ijazat hasil kare
bager unki ijazat ke
kardi to unki taraf Se
Wajib ada nahi hoga !!
albatta nabalig aulad
ki taraf se qurbani
karna chahe to bilkul
kar sakta hai sawab
payga !!! lekin yeh
zarur yad rahe ki
nabalig par qurbani
vajib nahi na to khud
us par aur na uski taraf
Se baap par
( ezan)
SUWAL
(10) : EK SHAKHS FAKEER
THA USNE QURBANI
KAR LI FIR MALDAAR
HO GAYA TO?
JAWAB
Ek shakhs fakeer tha
aur usne fakeeri ke
A'alam me qurbani
kar dali uske ba'ad
abi qurbani ka waqt
baqi tha ki gani (maldaar)
ho gaya to usko fir
se qurbani karni chahiye
ki pehle Jo ki thi Wo wajib na thi aur ab wajib hai !
(ezan)
SUWAL
(11): AGAR KOI SHAKHS
QURBANI KE BAJAYE
BAKRA VAGERA SADQA
KARDE TO KOI HARJ
TO NAHI?
JAWAB
q nahi bohot badha
harj hai! Mas'ala ye
hai ki qurbani ke ayyam
me qurbani karna lazim
hai" koi dusri cheez
uske qayam maqam
nahi ho sakti, maslan
bajaye qurbani ke usne
bakri ya uski qeemat
sadqa kardi ye nakafi
hai ! AL batta usme
niyabat
ho sakti hai ya'ani khud
karna zaruri nahi balki
dusre ko ijazat de di
aur usne kardi ye
ho sakta hai !!
(ezan peg 293 - 294)
continue....SUWAL
(12) QURBANI KA WAQT
KAB SE KAB TAK HAI?
JAWAB
qurbani ka waqt dasvi
zilhijja ke tulue sabhe
sadiq Se barahvi
ke gurube aaftaab
tak hai ya.ani teen
din aur do raate
in dino ko ayyame
naher kehte hai
( durre mukhtar jild 9 peg. 520-527-529)
SUWAL
(13) KYA RAAT
ME QURBANI HO
SAKTI HAI?
JAWAB
dasvi ke baad dono raate ayyame neher me dakhil hai unme bhi qurbani ho sakti hai magar raat me qurbani karna makruh hai!!
( fatawa Aalam giri jild 5 peg.295)
SUWAL
(14) :JESA KE AAP NE
BATAYA KI QURBANI
KA WAQT DASVI
ZILHIJJA KE TULUE
SUBHE SADIQ SE
SHURU HOTA HAI
TO KYA NAMAZE
EID SE PEHLE HAM
QURBANI KARLEN?
JAWAB
ye Mas'ala shehar
aur dihat ke etibar
se mukhtalif hai! ya'ni
shehar me qurbani ki
jaye to shart ye hai ki
namaz ho chuki ho lihaza
namaze eid se pehle
shehar me qurbani
nahi ho sakti! aur
dihat me chuki namaze
eid nahi hai lihaza yaha
tulue fajar ke baad hi se
qurbani ho sakti hai Lekin
behtar hai ki tulue aaftaab
ke baad qurbani ki jaye
aur shehar me behtar hai
ki eid ka khutba ho chukne
ke baad qurbani ki jaye
(ezan)
ya'ni namaz ho chuki aur
abi khutba nahi hua! is
Surat me qurbani ho to
jaygi magar esa karna
makruh hai !
( bahare shariat hissa 15 peg. 687)
SUWAL
(15) : To shehar ki kounsi
masjid me namze eid
khatm hona qurbani
jaiz aur sahi hone ke
liye behtar hai?
JAWAB
agar shehar me muta
addat jagah eid ki
namaz hoti hai to
pehli namaz ho chukne
ke baad qurbani jaiz
hai ! Ya.ani yeh zaruri
nahi ki eidgah me namaz
ho jaye jab hi qurbani
ki jaye balki ahle sunnat
ki kisi bhi masjid me
namaz ho gayi aur
eidgah me nahi hui
jab bhi qurbani ho sakti hai
SAWAL (16)
hujjaje kiram jo mina me hote hai wo kab qurbani kare ?
JAWAB
mina me chunki namaze
eid nahi hoti lihaza
vaha jo qurbani karna
chahe to tulue fajr ke
ba'ad kar sakta hai
uske liye vahi hukm
hai jo dihat ka hai yuhi
agar kisi shehar me
fitne ki vajah se namaze
eid na.ho to vaha bhi
dasvi ki tulue fajr ke
ba'ad qurbani ho sakti hai
( durre mukhtar ve raddul
muhtar jild 9 peg. 528- 530)
SUWAL
(17) : QURBANI WAJIB
THI AUR NAhi kar paya
aur qurbani ke din guzar
gaye to kya hukm hai?
JAWAB
AGAR qurabni ke liye
janwar kharid liya tha
to ab zinda sadqa karna
wajib hai aur bil farz
use bech diya to uski
kimat sadqa karna
wajib hai !! Aur bilfarz
janwar kharida hi nahi
tha to bhi uski kimat
sadqa karna wajib hai!
(raddul muhtar jild 5 peg.204)
SUWAL
(18) : agar veh janwar
sadqa bhi nahi kiya
yaha tak ki dusri
bakraeid agayi to kya
qurbani ki kaza kar sakta hai?
JAWAB
hargiz nahi balki ab
bhi vahi hukm hai
ki janwar sadqa kare
aur agar use bech dala
hai to uski kimat sadqa kare!!
(fatawa aalamgiri jild 5 peg.296-297)
Continue.....SUWAL
(19) : koi qurbani ki
vasiyyat karke dunya
se inteqal kar gaya
to kya uski vasiyyat
Par amal kiya jayga?
JAWAB
ji ha!! albatta us gosht
me se na to ghar Wale
kha sakte hai aur na
maldaar logo ko khila
sakte hai balki pure
gosht ko sadqa karna
wajib hai!! ha agar
marhum ne vasiyyat
nahi ki thi aur ghar
vale uski taraf se
qurbani karna chahe
to koi harj nahi, qurbani
karke uska gosht khud
bhi kha sakte hai
digar musalmano ko
bhi khila sakte hai!!
SUWAL
(20) : kya qurbani ka
gosht kafir ko dena jaiz hai?
JAWAB
hargiz nahi, qurbani ka
gosht kafir ko dena
aslan ya'ani bilkul bhi
jaiz nahi !! na kachcha
gosht aur na hi paka kar
agar kisi ne de diya to
gunahgar hai tauba kare,
lekin iski vajah se qurbani
ke iaad ki hajat nahi !!
is par do dalile malahiza
farmaye
NAKLI DALIL
fatawa aalamgiri me iski kuch you sarhat milti hai
is ka khulasa yah hai
ki kafir teen tarah ke
hai harbi, mastamin
aur zimmi, inme se
sirf zimmi ko dena jaiz
hai aur hamara mulk
Hindustan agarche
darul Islam hai isko
darul harab kehna sahi
nahi hai lekin yaha ke
kuffar yaqinan zimmi
nahi qki zimmi ke liye
badshahe Islam ka zimma
hona zaruri hai!
AQLI DALIL
saal me 5 din aise ate
hai jinme roza rakhna
haram hai! inme se ek
eidul fitr ka din aur baqi 4
din bakraeid ke ya'ani
dasvi 11vi bharvi aur
tervi zilhijja, Ab aap
gor kare ki in dino me
roza rakhna haram Q
karar diya gaya hai?
to iska jawab har zi
shaur musalman ko
ma'lum hona chahiye
ki in dino me chunki
Allah ta'ala ki janib se
masalmano ki mehman
navazi ki jati hai aur
firishto ke zariye kher
khuwahi hoti hai! ma'lum
hua ki mehman navazi
musalmano ki hi hoti hai
to Ab kisi musalman ki ye
jurat kese ho sakti hai
ki wo rabbul aalameen
ke atakarda is mehman
navazi ke aali martabat
dastar khuwan par kisi
Gair Muslim ko sharik kare
lihaza har sanjida aqle
Muslim bhi yeh bat taslim
karti hai ki kafir ko qurbani
ka gosht hargiz jaiz nahi hai!!
SUWAL
(21) : qurbani ke janwar
ki kitni kisme hai?
JAWAB
3 kisme hai (1) unth
(2) gaaye (3) bakri !!
har kism me uski jitni
noye hai sab dakhil hai!!
nar aur mada khasi aur
Gair khasi sabki qurbani
ho sakti hai!! bhes gaaye
me shumar hai, iski bhi
qurbani ho sakti hai isi
tarah bakra bhed aur dumba
bakri me dakhil hai inki
bhi qurbani ho sakti hai
( fatawa alamgiri jild 5 peg.297)
BOOK : masaile qurbani
AUTHOR : hazrat maulana hasan raza sahab qadri khatibo imam
masjid saraywalan Jaipur
(Agar likhne me kisi bhi jagah kami beshi paye to hamari Islah farmaye,
8955875474
FAIZAN-E-RAZA GROUP
鈽 Keep Watching Madani Channel
鈽 To learn more..... visit
www.dawateislami.net
SAWAL 22
qurbani ke janwar ki umar kya hona chahiye?
JAWAB
qurbani ke janwar ki umar ye honi chahiye, unth kam Az kam 5 saal ka, gaaye bhens 2 saal ki aur bakra aur bakri dumba bhed vagera 1 saal ke, isme kam umar hoto qurbani jaiz nahi isse ziyada hoto jaiz balke Afzal hai , albatta dumba ya bhed ka 6 mah ka bacha agar itna badha aur farba ho ki dur se dekhne me saal bhar ka malum hota ho to uski qurbani jaiz hai
( durre mukhtar jild 9 peg. 533)
continue.......
SAWAL 22
qurbani ke janwar ki umar kya hona chahiye?
JAWAB
qurbani ke janwar ki umar ye honi chahiye, unth kam Az kam 5 saal ka, gaaye bhens 2 saal ki aur bakra aur bakri dumba bhed vagera 1 saal ke, isme kam umar hoto qurbani jaiz nahi isse ziyada hoto jaiz balke Afzal hai , albatta dumba ya bhed ka 6 mah ka bacha agar itna badha aur farba ho ki dur se dekhne me saal bhar ka malum hota ho to uski qurbani jaiz hai
( durre mukhtar jild 9 peg. 533)
SUWAL
(22) qurbani ke
janwar ki
umar kya hona
chahiye?
JAWAB
qurbani ke janwar
ki umar ye honi chahiye,
unth kam Az kam 5 saal
ka, gaaye bhens 2 saal
ki aur bakra aur bakri
dumba bhed vagera
1 saal ke, isme kam
umar hoto qurbani
jaiz nahi isse ziyada
hoto jaiz balke Afzal
hai , albatta dumba
ya bhed ka 6 mah ka
bacha agar itna badha
aur farba ho ki dur se
dekhne me saal bhar
ka malum hota ho to
uski qurbani jaiz hai
( durre mukhtar jild 9 peg. 533)
continue.......SUWAL
(23) :agar qurbani ke
janwar me koi aib hoto
kya hukm hai?
JAWAB
shari'ate mutahara ka
hukm yeh hai ki qurbani
ke janwar ko aib se khali
hona chahiye, agar thoda
sa eb ho to qurbani ho
jayegi magar makruh
hogi aur ziyada aib ho
to qurbani hogi hi nahi,
chunanche jiske pedayshi
sing na ho, uski qurbani
jaiz hai, aur sing the
magar tut gaye agar
unme se ek bhi sing
ming tak tut gaya to
qurbani na jaiz hai, aur
isse kam tuta to jaiz hai!!
jis janwar me junun hai
aur is had ka hai ki
veh janwar charta bhi
nahi hai to uski qurbani
na jaiz hai aur is had
ka nahi hai to jaiz hai!!
khassi ya'ani jis ke khusiye
nikal liye gaye ho ya
majbub ya'ani jiske
khusiye aur uzue tanasul
sab kaat liye gaye ho
unki qurbani jaiz hai !!
itna badha ki bache ke
kabil na raha ya daga
hua janwar ya jiske dud
na utarta ho in sabki
qurbani jaiz hai
kharish vale janwar ki
qurbani jaiz hai jabki
farba ho aur itna laagar
ki haddi me magz na
raha to jaiz nahi !!
(ezan peg.535)
SUWAL
(24) : jiske dant na ho
uski qurbani jaiz hai
ya nahi?
JAWAB
jiske dant na ho agar
isse murad ye hai ki
pehle the magar ba'ad
me kasrate umar ki
vajah se jhadh gaye to
chunki danto ka jhadna
aibe jali hai lihaza aise
janwar ki qurbani jaiz
nahi, isi tarah Jo janwar
dant na hone ki vajah
se gaas khane ki
salahliyat na rakhta
ho uski bhi qurbani na
jaiz hai albatta janwar
maslan bakra ek saal
ka ho chuka magar Ab
tak uske dant nikle hi
nahi to aise janwar
ki qurbani bil ittefaq
jaiz hai!!
(behru raiq jild 2 peg . 359 tabaynul haqayq jild 6 peg. 218)
SUWAL
(25) : jis waqt janwar
kharida tha usme
aib nahi tha baad me peda
ho gaya to?
JAWAB
agar us waqt usme
aib nahi tha jiski vajah
se qurbani na jaiz
hoti hai, ba'ad me
WO aib pada ho
gaya to agar WO shakhs
malike nisaab nahi hai
balki fakeer hai to usi
ki qurbani kare , magar
yeh zarur yaad rahe ki
yeh hukm us waqt hai
ki jab us fakeer ne pehle
se apne upar qurbani
vajib na
ki ho!!
agar mannat Mani hai ki
bakri ki qurbani karunga
aur mannat puri karne ke
liye bakri kharidi us
waqt us bakri me
aisa aib nahi
tha fir peda ho gaya
to is Surat me fakeer
ke liye bhi
yahi hukm hai ki dusre
janwar ki qurbani kare
(hidaya jild 2 peg.395)
SUWAL
(26) : yeh bat to samaj
me agayi ki jis waqt
janwar ko kharida
tha aur usme aib
nahi tha lekin kharidte
waqt usme aib mojud
ho to kya Surat hai?
JAWAB
iski do surte hai (1)
agar yeh kharidne
wala fakeer tha ya'ani
sahibe nisaab na tha
aur us waqt janwar
me aisa aib tha jisse
qurbani na jaiz hoti
hai aur aib qurbani ke
waqt tak baki raha to
fakeer uski qurbani
kar sakta hai !!
(2) aur agar kharidne
wala gani (maaldar ) tha
to uske liye na jaiz
hai ki aib daar kharide
aur aib daar hi ki qurbani
kare, weh aisa nahi kar
sakta ta ham agar aibi
janwar kharida tha
aur baad me uska
aid jata raha to gani
( maldar) aur fakeer
dono ke liye uski qurbani
jaiz hai aur uske yaha
wo farba ( tandurust )
ho gaya to gani bhi
uski qurbani kar sakta hai
( durre mukhtar ve
raddul muhtar jild 9 peg. 539)
SUWAL
(27) : janwar sahi
salamat
tha magar qurbani ke
waqt uchla kuda jiski
vajah se aib peda ho
gaya to kya uski bhi
qurbani nahi hogi?
JAWAB
yeh Surat mustsana
ya'ani alag hai ki agar
qurbani ka janwar
uchla kuda jiski ki
vajah se aib peda ho
gaya to yeh aib muzir
nahi , qurbani ho jayegi
balki agar uchalne
kudne se aib peda
ho gaya aur weh chut
kar bhag gaya aur
foran pakad liya gaya
aur zibah kar diya
gaya jab bhi qurbani
ho jaygi
( ezan)
SUWAL
(28) : agar qurbani ka
janwar
mar jaye ya gum
ho jaye to kya qurbani
saqit ho sakti hai?
JAWAB
agar qurbani ka janwar
mar gaya to gani par
lazim hai ki dusre
janwar ki qurbani kare
aur fakeer ke zimme
dusra janwar wajib nahi
aur agar qurbani ka
janwar gum ho gaya ya
chori hogaya uski jagah
dusra janwar kharid liya
Ab wo gumshuda janwar
mil gaya to gani
(maaldar) ko ikhtiyar
hai ki dono me se jis
ki chahe qurbani kare
aur fakeer par wajib hai
ki dono ki qurbani kare
(ezan) lekin gani ( maaldar)
ne agar pehle janwar ki
qurbani ki uski keemat
agrche dusre se kam hai
to koi harj nahi aur agar
dusre ki qurbani ki aur
uski keemat pehle se
kam hai to jitni kami
hai utni raqam sadka
kare ! ha agar pehle
ko bhi qurbaan kar diya
to Ab wo tasadduk (ya'ani
sadqa karna) wajib nahi raha
( ezan)
SUWAL
(29) : bhai hai aur sab malike nisaab hai to kya un sab ki taraf se ek farba bakre ki qurbani ho sakti hai?
JAWAB
hargiz nahi har malike
Nisaab bhai ko alehda
(alag Alag)
Qurbani karni hogi
warna wajib sar se nahi
utrega , albatta bade
Janwar me saat hisse
shamil ho sakte hai
Is liye usme hissa milana
chahe to koi
Harj nahi
SUWAL
(30) : agar 7 shakhso ne
qurbani ke liye badha
janwar kharida aur
kazaye ilahi se unme
se ek shakhs ka unteqal
ho gaya to qurbani ki
kya Surat hogi?
JAWAB
7 shakhso ne qurbani
ke liye badha janwar
kharida aur unme se
ek ka inteqal ho gaya
to agar us marhum ke
wareseen ne shurka
se kehdiya ki tum is
janwar ko apni taraf
se qurbani karlo aur
unhone kar liya to sab
ki qurbaniya ho gayi aur
agar wareseen ki ijazat
ke bigair kardi to unme
se kisi ki qurbani nahi hui
SUWAL
(31) : kya hisse vali
qurbani me koi khas
niyyat zaruri hai?
JAWAB
bukhari sharif ki sabse
pehli hadis ka ibtedayi
juz hai ! (ُانِّمَل ءَعمال بِلنِیّات)
ya'ni a'amal ka daromadar
niyyato par hai !! vese to
har amale kher se qabl
achi niyyat hona zaruri
hai aur hissevali qurbani
me to ashad zaruri hai
aur wo takarrub ya'ni
husule sawab ki niyyat
hai yaha tak ki fuqahaye
kiram farmate hai ki "
hissevali qurbani me
shurka me se ek shakhs
ka maqsad qurbani nahi
balki faqat gosht hasil
karna hai to kisi ki qurbani
nahi hogi
(durre mukhtar ve raddul muhtar jild 9 peg. 540)
SUWAL
(32) : agar shurka me
se ek ki niyyat is saal
qurbani ki hai aur baqiyo
ki gujasta saal ki to kya
hukm hai?
JAWAB
shurka me se ek ki
niyyat is saal qurbani
ki hai aur baqiyo ki
niyyat saale gujasta
ki qurbani hai to jiski
is saal ki niyyat hai
uski qurbani sahi hai
aur baqiyo ki niyyat
batil hai !!
q ki saale gujasta ki
qurbani is saal nahi ho
sakti, in logo ki yeh
qurbani nafli hui aur un
logo par lazim hai ki gosht
ko sadqa karde balki unka
sathi jiski qurbani sahi
hui hai wo bhi gosht
sadqa karde
(ezan)
SUWAL
(33) : kya badhe janwar
ki qurbani me bakraied
ki qurbani ke saat saat
aqiqa bhi shamil kar
sakte hai? jese 5 hisse
bakraeid ki qurbani ke
aur do hisse aqiqe ke,
kya ye durust hai?
JAWAB
chunki qurbani ka maqsad
takurrub ilallah ya'ni Allah
ka kurb aur sawab hasil
karna hai aur yahi maqsad
aqiqe me bhi mojud hai
lihaza bagair kisi karahat
ke badhe janwar ki qurbani
me bakraeid ki qurbani ke
saat saat aqiqa bhi shamil
kar sakte
(ezan)
SAWAL
(34) : qurbani ka janwar
kesa hona chahiye?
JAWAB
MUSTAHAB yeh hai
ki qurbani ka janwar
khub farba aur khubsurat
Aur badha ho aur bakri
ki kism me se qurbani
karna ho to behtar sing
wala menda chitakbara
jiske khusiye kut kar khassi
kar diya gaya ho ki hadise
pak me hai huzoor
nabiye karim صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ne ese mende
ki qurbani farmayi !!
(fatawa alamgiri jild 5 ped. 300)
(34) : qurbani ka janwar
kesa hona chahiye?
JAWAB
MUSTAHAB yeh hai
ki qurbani ka janwar
khub farba aur khubsurat
Aur badha ho aur bakri
ki kism me se qurbani
karna ho to behtar sing
wala menda chitakbara
jiske khusiye kut kar khassi
kar diya gaya ho ki hadise
pak me hai huzoor
nabiye karim صلى الله تعالى عليه وآله وسلم ne ese mende
ki qurbani farmayi !!
(fatawa alamgiri jild 5 ped. 300)
SUWAL
(35) : QURBANI KE
JANWAR KE BAAL
KATNA KESA HAI?
JAWAB
mas'ala yeh hai ki
zibah se pehle qurbani ke
janwar ke Baal apne
kisi kaam ke liye kaat
Lena ya uska dud dhona
makruh he mamnu hai
aur qurbani ke janwar
par sawar hona ya us
par koi cheez ladna ya
usko ujrat par dena , garz
ki us se munafa hasil
karna mana hai !
agar usne uoon kaat
liya ya dud doh liya to
use sadqa karde aur
ujrat par janwar ko diya
hai to ujrat ko sadqa kare
aur agar khud us par sawar
hua ya us par koi cheez
ladi agar uski vajah se
janwar me kuch kami
aayi to utni miqdar me
sadqa kare !!
albatta jab janwar zibah
ho jaye to Ab uske Baal
ko apne kaam ke liye
kaat sakta hai aur uske
than me dud hai to nikaal
sakta hai ki Jo maqsad
tha wo pura ho chuka
Ab uski milk hai apne
sarf me LA sakta hai
( durre mukhtar ve raddul muhtar jild 9 peg. 544)
SAWAL
(36) : QURBANI KA TARIKA BATA DIJIYE?
JAWAB
iska tafsili tarike kaar mulahza farmaye !!
zibah karne se pehle churi ko tez kar liya jaye aur zibah ke ba'b jab tak janwar thnda na ho jaye aur uske tamam aaza se ruh nikal na jaye us waqt tak hath pav na Kate aur na khal utare !!
aur behtar yeh hai ki apni qurbani apne hath se kare agar achi tarah zibah karna janta ho aur agar achi tarah zibah karna nahi janta ho to dusre ko hukm de ki wo zibah kare magar is surat me behtar yeh hai ki vaqte qurbani hazir ho, qurbani se pehle use chara pani de ya'ni bhuka piyasa zibah na kare !!
aur ek janwar ko dusre janwar ke samne zibah na kare aur pehle se churi tez karle esa na ho ki janwar girane ke ba'd uske samne churi tez ki jaye janwar ko baye pehlu par is tarah litaye ki qible ki taraf uska muh ho aur apna dahina pav uske pehlu par rakh kar tez churi se jald zibah kardiya jaye aur zibah se pehle yeh dua padhi jaye اِنّی وَ جَّهْتُ وَجْهِیَ لِلَّذِیْ فَطَرَالسَّمٰوٰتِ وَالْاَرضَ حنیفاوَّمااَناََ مِنَ الْمُشْرِڪِيْنَ اِنَّ صَلاَ تِیْ وَنُسُڪِیْ وَمَحْيَایَ وَمَماتِیْ لِلّٰهِ رَبِّ ْاٰلعٰلَمِيْنَ لاَ شَريْڪَ لهُ وَ بِذلِڪَ اُمِرْتُ وَ اَنَا مِنَ الْمُسْلِمِین اللّٰهُمَّ لَڪَ وَمِنْڪَ بِسمْ ِاللّٰه اللّٰهُ اڪْبَر
padh kar zibah karde , qurbani apni taraf se ho to ke ba'b yeh dua padhe !!
اللّٰهُمَّ تَقَبَّلْ مِننِیْ ڪَمَا تَقَبَّلْتَ مِنْ خَلِيْلِڪَ اِبْرَاھِيمَ عَلَيهِ الصَّلوٰةُ وَالسَّلاَمُ وَحَبِيْبِڪَ مُحَمَّدٍ صَلَّی اللّٰهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمْ
is tarah zibah kare ki charo rage kat jaye ya kam az kam teen rag kat jaye is tarah se ziyada na kate ki churi gardan ke muhre tak pohoch jaye ki ye bevajah ki taklif hai !! agar dusre ki taraf se zibah kiya to minni ki jagah min kehkar uska naam le !!
aur agar wo janwar mushtarak hai jese gaaye uoooth to vajan se gosht taqsim kiya jaye mehez takhmeene se taqsim na kare fir us gosht ke teen hisse karke ek hissa fuqara par tasadduq kare aur ek hissa dost ve ahubab ke yaha bhej de aur ek hissa apne ghar valo ke liye rakhe , usme se khud bhi kha le aur agar ahlo ayaal ziyada ho to tihayi se ziyada balki kul gosht bhi ghar ke sarf me la sakta hai !!
aur qurbani ki khal apne kaam me la sakta hai aur ho sake to kisi nek kaam ke liye de de maslan ahle sunnat ki masjid ya madarse ko de de ya kisi musalman faqeer ko de de !!
ba'z maqamat par yeh khal imame masjid ko di jati hai agar imam ki tankhuwah me na di jati balki iaanat ke tor par hoto harz nahi !!
behrur raiq me hai ki qurbani karne vala bakraeid ke din sabse pehle qurbani ka gosht khaye isse pehle koi cheez dusri na khaye yeh mustahab hai agar iske khilaf kare jab bhi koi harz nahi !!
(behrur raiq jild 2 peg 57 , bahare shariat hissa 15 peg 297)
SUWAL
(37) : AGAR KOI SHAKHS
بِسمِ الله qasdan ya'ni jaan bujkar
tark karde to kya hukm hai?
JAWAB
zibah karte waqt Allah
ka naam Lena farz hai
aur itni buland aawaz
se ki shor ve gul na hone
ki Surat me uske apne
kaan sunle !!
mas'ala yaha tak fukahaye
kiram ne bayan
farmaya hai ki dusre
se zibah karvaya aur
apne hath bhi churi
par rakh diya ki dono
milkar zibah kiya to
dono par
بِسمِ الله
kehna wajib hai
ek ne bhi qasdan ya'ni
janbujkar chodh Di ya
yeh khayal kiya ki dusre
ne keh liya muje kehne ki
kya zarurat hai dono
me janwar halal na hoga !!
(durre mukhtar jild 9 peg. 551)
SUWAL
(38) : KYA QURBANI KE
JANWAR PAR FATIHA
KHWANI HO SAKTI HAI?
JAWAB
Q NAHI , yeh ba'az logo
ki galat fehmi hai ki
qurbani ke gosht par
fatiha khuwani nahi
ho sakti aur is par wo
apni jihalat se barpur
daleel bhi pash karte
hai jo mazhabe islam
ne qabul nahi ki hai !!
Shari'ate mutahra ka
qayda yeh hai ki jin
cheezo ko khana pina
halal hai un par fatiha
dena bhi halal hai ab
khuwah veh qurbani
ka gosht ya murg ka
gosht !!
SUWAL
(39) HALAL JANWAR KA
KAPURA KHANA
KESA HAI ??
JAWAB
zibhe sharai ke bavajud
halal janwaro ka kapura
khana haram hai jesaki
fatawa aalamgiri me hai
(halal janwaro me saat
cheeze hai
(1) behta Khun
(2) Aala e tanasul
(3) dono khusiye (kapure)
(4) sharmgah
(5) gadud
(6) masana
( 7) pitta
(fatawa alamgiri jild 5 peg. 256)
SUWAL
(40) : HALAL JANWARO KI
AUJDHI KHANA
KESA HAI?
MAKRUHE TANZIHI
YA TEHRIMI?
AGAR MAKRUHE
TEHRIMI HAI TO
QURABNI
KE JANWAR KI
AUJDHI
KA KYA.KIYA JAYE?
JAWAB
halal janwaro ki
aujdhi khana makruhe
tehrimi
Hai ya'nk haram ke
Karib hai jesa ki
Seyyadi aala hazart
Ashshah imam ahmad
Raza khan عَليهِ رَحمَه
ne khud apne risale
me tehqiq farmayi hai !!
Lihaza qurbani ki
aujdhi kisi mehfuz
maqam par gehra
Gadda khod kar dafan
Kardi jaye aur galazat
Uthane vala le jaye to
Mana ki hajat nahi !!
Durre mukhtar me hai
Makruhe tehrimi
Istehqaqe jahannam ka
Sabab hone haram ke
misl hai aujdhi ke bare
Me kutub khana
Amjadiya mehrajganj
Zila basti ki shaye "
karda aujdhi ka mas'ala
Ka mutala farmaye jis
Me bohot se ulmaye
kiram aur muftiyane
kiram izaam ka fatwa
Na jaiz hone ke bare me
shaye kiya gaya hai!
SUWAL
(41) : KISI SHAKHS NE
APNE MA BAAP KE
NAAM SE QURBANI
KARDI TO US SHAKHS
KE SAR SE QURBANI
KA BOJ UTRA YA NAHI
AUR QURBANI SAHI HUI
YA NAHI?
JAWAB
JIS SHAKHS NE APNE
MA BAAP KE NAAM SE
QURBANI KARDI TO YEH
qurbani sahi ho jaygi
lekin agar veh shakhs
sahibe nisaab hai to
us par apne naam se
qurbani karna pehle
wajib hai !!
Ab wo shakhs agar
apne naam se qurbani
nahi karega to gunahgar
hoga, isliye ki usne apne
sar se qurbani ka boj
nahi utara
( durre mukhtar jild 9 peg. 524)
SUWAL
(42) : ZED EK BAKRE KI
QURBANI KARNA
CHAHTA HAI AUR
BAKRA NIHAYAT
FARBA AUR TANDRUST
HAI LEKIN UMR KE LIHAZ
SE ABI SAAL BHAR ME
10 DIN BAKI HAI TO
KYA USKI QURBANI
HO SAKTI HAI?
JAWAB
us bakre ki qurbani
jaiz nahi khwah kitna
hi farba ho q ki qurbani
ke bakre ki umar saal
bhar hona zaruri hai!!
albatta dumba ya bhedh
ki umar ek saal hona
zaruri nahi,
yaha tak ki 6mah ka
bacha agar itna badha
aur farba ho ki door se
dekhne me saal Bhar
ka malum hota ho
to uski qurbani bhi
jaiz hai!!
magar yaha ye vazahat
karna zaruri hai ki
mutlaqat 6 mah ke
dumbe ya bhedh ki
qurbani jaiz nahi
balki uska tandrust aur
farba hona zaruri hai
ki door se dekhne me
saal bhar ka malum
ho bilfarz dumba ya
bhedh ka bacha door se
dekhne me saal bhar ka
malum nahi hota to
Ab agarche uske saal
bhar ka hone me ek
hi din kam ho magar
uski qurbani jaiz nhi!!
raddul muhtar me hai
لوضحی بسنّ اقل لايجوز
SUWAL
(44) : AGAR EK MUSALMAN
ZIBAH KARE AUR DUSRA
MUSALMAN QURBANI
KI DUA PADHE TO
QURBANI HOGI YA
NAHI?
JAWAB
zibah karne vale ko
بِسمِ اللَّه اللّٰهُ اَڪبَر
padhna zaruri hai!
qurbani ki dua padhna
zaruri nahi , lihaza
agar kisi dusre
musalman ne uski
dua padhi to qurbani
ho jayegi!!
jesa ke ashbah vannazayr me hai
mas'ale ki had to
yaha tak hai ki kisi
musalamn ne qurbani
ki niyyat se janwar
kharida fir uski ijazat
ke bigair dusre ne
qurbani kardi aur
malik ne gosht le liya
aur is zibah karne
vale se tawan nahi liya
to is Surat me bhi
qurbani ho jayegi !!
(AL ishbah vannazayr peg.22)
SUWAL
(45) : QURBANI KI KHAL
KIN LOGO KO DENA
JAIZ HAI?
JAWAB
qurbani ki khal har
Sunni musalman ko
dena jaiz hai khwah
wo garib ho ya ameer,
aur challi vagera
banakar musalle ke
tour par apne kaam
me lana bhi jaiz hai!!
Lekin khal bechkar
pese apne kaam me
nahi LA sakta balki
sadqa Karna laazim
hai!!
isi Tarah khal ya
uske pese ko kisk kaam
ki ujrat me dena bhi na
jaiz hai!!
(fatawa faizurrasool jild 2
peg.427)
ahle sunnat ki masjid ya madarse me dena bohot hi behtar hai
SUWAL
(46) : HAM 5 BHAIYO NE
BADE JANWAR KI QURBANI
ME HISSA MILAYA
HAI 5 HISSE
MUKAMMAL HO GAYE
DO HISSE BAQI HAI
TO HAM ITTEFAQE
RAYE SE EK HISSA
HUZOORE AKRAM
ََصَلَی اللَّهُ عَلَيهِ وَسَلَّم
KE NAME BUBARAK
KA AUR EK HISSAH
HUZOOR GOUSE PAK
KE NAAME MUBARAK
KA SHAMIL KAR RAHE
HAI KYA ESA KARNA
DURUST HAI ?
JAWAB
q nahi اَلْحَمْدُ لِلّّٰه
yeh Badi khushi ki
bat hai!!
kash is tarah agar
har sahibe nisaab
musalman kare to wo
yaqinan Allah ke azeem
ahsanat ka mazid
musthiq ho jaye!!
Allah ta'la toufiq ata
farmaye!!
SUWAL
(47) : QURBANI KI KHAL
KE DHOL TASHE BANANE
ME KHARCH KARNA
KESA HAI?
JAWAB
pehli bat to yeh ki
moharram ya kisi aur
moqe par dhol tashe
bajana jaiz nahi hai
lihaza Ab bajana hi jaiz
nahi hai to isme qurbani
ki khaal lagana bhi
jaiz nahi hai!!
huqme Shara'yi yeh hai
ki use sadqa karde ya
use baqi rakhte hue
apne kisi jaiz kaam
me laye maslan musalla,
chalni, mashkiza vagera
banaye ya kitabo ki jild
vagera me lagaye!!
jesa ki durre mukhtar
me hai!!
یتصد ق بجلد ھا او یعمل
منه نحوغر بال وجراب...الخ٫٫
SUWAL
(48) : QURBANI KA
GOSHT KABTAK
KHAYA JA
SAKTA HAI?
JAWAB
jab tak gosht kharab
na ho us waqt tak bila
karahat khaya ja
sakta hai yeh Jo awam
me galat fehmi feli
hui hai ki qurbani ka
gosht teen din tak
ka hi kha sakte
hai yeh esi afwah
hai jiska mazhabe
islam se dur ka bhi
vasta nahi hai!!
Allah ese logo ko
aqle saleem ata farmaye!
SUWAL
(49) : BA'AZ GAYE AUR
BAKRIYA JO GANDA
KHATI HAI AUR VEH
BAKRA JO KHASSI
NAHI HOTA AKSAR
PESHAB PEETA
REHTA HAI UN SABKA
GOSHT KHANE KE
BARE ME SHARIA'T
KA KYA HUKM HAI?
JAWAB
wo gaye aur bakriya
Jo ganda khati hai
unko jallala kehte hai
unke badan aur gosht
vagera me badbu
peda hojati hai!!
hukme shara'yi ye hai
ki unko kai din tak
bandker rakhe taki
najasat ( ganda)
na khaye piye, jab
badbu dur ho jaye
to zibah karke khale
isi tarah veh bakra
Jo peshab pine ka
aadi hota hai usme
esi sakht badbu peda
ho jati hai ki jis raste
se guzar jata hai wo
rasta bhi kuch der ke
liye badbudar ho jata
hai!!
uska bhi vahi hukm hai
Jo jallala ka hai, agar
uske gosht se badbu
dafa (dur) ho gayi to
kha sakte hai varna
makruh he mamnu hai!!
SUWAL
HUZOOR SADRE SHARI'AT
KHALIFA E AALA HAZRAT
HAZRAT
ALLAMA MUFTI
MOHAMMED AMJAD
ALI A'AZMI رحمت الله علیه
bahare sharia't me
farmate hai ki jiske
dant na ho uski
qurbani na jaiz hai
is ibarat ka kya
matlab hai?
JAWAB
jiske dant na ho
uski qurbani na jaiz
hai"iske do matlab
fuqahaye kiram ke
aqwaal ke mutabik
jawab no. 24 me arz
kiye ja chuke hai
vaha se mazeed
malum karle!!
albatta yaha itna
kehana zaruri samjta
hu ki kitabe padna
aur hai neez samajna
aur hai yahi vajah hai
ki kitne molvi kehlane
valo se jab yahi mas'ala
pucha gaya ki "jiske dant
na ho uski qurbani ka kya
hukm hai?" to jhalat se
fatwa de diya ki aslan
qurbani nahi hogi
aur hawale se bahare
sharia't ka yahi juziya
bayan kardiya halaki
Allah ke bando ko
chahiye ki pehle is
mas'ale ki sharah
malum kare ki fuqahaye
kiram ne is bare me kya
farmaya hai!!
lihaza ese hazraat se
bhi guzarish hai ki
jab kisi mas'ale ke bare
me so fisadi malumat
na ho, batakar apni
akhirat tabahi par
hargiz na lagaye
aap is tarah agar
samne vale ke Dil
me apni ilmiyat ka
sikka zamane me
kamyab ho bhi gaye
magar Allah rabbul
izzat ki bargah Me
kis muh se jayenge!!
apne anjam par gor
kare!! yaqinan is tarah
ke galat masail koi
aalim bata hi nahi
sakta aur bil farz koi
molvi bata bhi de to
wo faqat sanad aur
digri ka molvi to ho
sakta hai magar ilm
ve adab ka aalim nahi
ho sakta!
وَاللَّهُ تَعَالَ وَرَسُلهُ اَعلَم
Allah hamare haale
zaar par karam
farmaye!!
SAWAL ( 51)
HAZRAT SAYYEDUNA
ISMAILعَلَیهِ السِّلاَم
ki jagah par Jo dumba
qurbani ke liye hazrat
jibrailعَلَیهِ السَّلاَم
laye the, veh kaha se
aya tha aur jab qurbani
ho gayi to qurbani ke
ba'd uske gosht aur
khal ka kya hua?
JAWAB
woh dumba kaha se
aya tha iske bare me
aksar mufassirin ka
qol yeh hai ki dumba
jannat se aya tha aur
ye vahi dumba tha
jisko hazrat aadam
عَلَیهِ السَّلاَم
ke sahabzade haabil
ne qurbani me pesh
kiya tha!! aur ba'z
mufassirin ke qol yeh
hai ki hazrat Ismail
عَلَیهِ السَّلاَم
ke fidye me zibah hone
ke liye sabeer pahadh
se minjaanibillah utara
gaya tha jesa ki para 23
ruku 7 ki ayate karima
107 hai
٫٫ وَفَدَينَاه بِذِبحٍ عَظِیمٍ؛؛
is ayate karima ke tehet
tafsire jalalen me hai
من الجنة وھوالذی قربه ھابيل جاء به جبريل عليه السلام فذبح السید ابراھيم٬٬-
iske tehet tafseere savi me hai
وقيل انه تيسا جبليا اهبط عليه من ثبیر ٬٬-
Ab raha yeh sawal
ki uske ghost vagera
ka kya hua to huzoor
sahibe ruhul bayan
ki tafsire se yeh
mafhum malum hota
hai ki sar ke alawa
baqi ajza ko aag jala
gayi jesa ki gujashta
ummato me qurbani
ki maqbuliyat ke liye
yahi qanune ilahi tha!!
SUWAL
(52) : EK SHAKHS NE EK
BAKRA QURBANI
KI NIYYAT SE KHARIDA
SAAL BHAR TAK USKI
PARVARISH KARTA
RAHA MAGAR JAB
QURBANI KA MOQA
AYA TO USNE US BAKRE
KO 15000/
RUPYE ME FAROKHT
KARKE DUSRA BAKRA
12000/ KA
KHARID LIYA AUR
USKI QURBANI KI
TO PUCHNA YEH
HAI KI ESA KARNA
KESA HAI?
JAWAB
qurbani ki niyyat se
bakra kharidne vala
agar sahibe nisaab
nahi tha to us par
usi bakre ki qurbani
vajib thi, use 15000/
me bechkar
aur dusra bakra
12000/
rupye me
kharid
kar uski qurbani karna
aur 3000/
bachakar apni zaruriyat
me kharch Karna jaiz
nahi, lihaza baqiya
3000/ rupye ko sadqa
karna vajib hai!!
aur agar veh kharidne
vala sahibe niasab
tha to chuki sahibe
nisaab par mehez
qurbani ki niyyat se
kharidne par usi
janwar ki qurbani
vajib nahi hoti
albatta surate mustafsara ke baqol
agar 15000/
rupye me bechkar 15000/
rupye hi me
ya us se ziyada me
dusra kharidkar qurbani
karta to durust tha
lekin usne ziyada me
bechkar kam me kharida
lihaza us par bhi baqiya
ko sadqa karna vajib hai!!
SUWAL
(53) : JO LOG AUJDHI
AUR AANTE KHANE PAR
BAZID HAI JAB
ONKO MANA KIYA
JATA HAI TO UNME
SE BA'AZ YE KEHTE
HAI KI TABAI HAI
JISKA DIL CHAHE
KHAYE VARNA NA
KHAYE AUR BA'AZ
LOG YEH KEHTE
HAI KI MAKRUH HI
TO HAI HARAM TO
NAHI, UN LOGO KA
ESA KEHNA KESA HAI?
JAWAB
haram katai farz
ka muqabil hai
aur makruhe tehrimi
wajib ka muqabil hai
ya'ni jis Tarah wajib
ka karna lazim aur
zaruri hai isi tarah
makruhe tehrimi
se bachna lazim
aur zaruri hai!!
haram ka ek bar
qasdan ya'ni jaan
bujkar karne wala
gunahgar murtakibe
kabira aur fasiq hai
aur makruhe tehrimi
ka ek bar karne wala
gunahgar aur chand
bar karne vala
murtakibe kabira aur
fasiq hai!!
aujdhi aur aanto
khane ko tabayi
kehne wala nira
jahil hai !!
aur Jo log yeh kehte
hai ki makruh hi to hai
haram to nahi,to ese
logo ke bare me yahi
arz Karna hai ki unke
kadam gumrahi ki
taraf badh rahe hai
kuch dino ba'ad
sunnat balki vitr
chodkar to kahenge
ki wajib hi to hai farz
to nahi balki aur
tarakki karenge to
aujdhi aur aanto ke
sath leed aur gobar
khayenge aur mana
karne par kahenge
haram hi to hai qufr
to nahi, khate hai to
kya hua khane ke
bavajud ham masalman
hai kafir to nahi
(مَاع ذَالله)
Allah Kareem aqle
saleem ata farmaye!!
SUWAL
(54) : GAAYE AUR BAKRI
NAR AUR MADA
KE ZABIHE ME
KIN CHEEZO KA
KHANA JAIZ NAHI?
JAWAB
gaye aur bakri nar
mada ke zabihe me
22 cheezo ka khana
jaiz nahi aur wo yeh
hai (1) khusiya ( 2)
farj ya'ni alamate
mada(3) zakar ya'ni
alamate nar ( 4)
pakhane ka maqam
( 5) rago ka Khun
( 6) gosht ka khun
Jo ki ba'de zibah
gosht me se nikalta
hai ( 7) DIL ka khun
( 8) jigar ka Khun ( 9)
tihaal ka khun ( 10)
pitta ( 11) pit ya'ni weh
zard pani Jo pitte me
hota hai! ( 12) masana
ya'ni fankna ( 13) gadud
(14) haram magz ( 15)
garden ke patthe Jo
shano tak khiche rehte
hai ( 16)aujdhi ( 17) aante
(18) Naak ki rutubat
yeh bhedh me ziyada
hoti hai! (19) nutfa
(khwah nar mada me
payi jati ho ya khud
us janwar ki Mani ho)
(20) wo khun Jo
Rehem me nutfe se
banta hai!!
( 21) gosht ka tukdha
Jo Rehem me nutfe
se banta hai!!
( 22) ta'ammul khalqat
ya'ni Jo Rehem me
pura janwar bangaya.
aur murda nikla ya
be zibah margaya!!
NOTE
yeh mas'ala fiqh ki
motabar kitabo me
hai jese durre mukhtar
raddul muhtar, badaye
aur fatawa razviya sharif
vagera aur dalayil ke
sath mazkur hai!!
lihaza musalmano par
lazim hai ki mazkura
bala cheezo ke khane
se parhez kare aur
gunah se bache!!
SAWAL( 55)
MUSAFIR PAR QURBANI
VAJIB HAI YA NAHI?
HAMARE YAHA SE JO
KHUSH NASEEB
AASHIQANE RASOOL
HAJJ KE LIYE JATE HAI
UN PAR QURBANI KI
KYA SURAT HAI?
BAKRAEID KI QURBANI
WO KARENGE YA UNKI TARAF
SE HAM KARENGE?
JAWAB
qurbani wajib hone ki
sharto me se ek shart
muqim hona hai
lihaza musafir par qurbani wajib nahi,
ha agar wo kare to
nafli hogi!! aur wo
sawab payega!!
lekin yaad rahe ki
musafir se murad
wo sharai musafir
hai ya'ni Jo kam Az
kam sadhe sattavan
meel ya'ni takriban
92 kilomiter ke fasle
tak Jane ke irade se
apne sheher ki abadi
se bahar nikal jaye
aur 15 din se pehle
pehle vapas aane ki
niyyat ho veh shara'i
musafir kehlata hai
aur us par qurbani
wajib nahi!!
chunanche Ab qayde
ki RU se yeh bat bhi
roze roshan ki tarah
aaya ho gayi ki hamare
yaha maslan pak ve
hind se hajj ke liye
Jane valo par
bakraeid ki qurbani
vajib nahi!!
q ki umuman vo bhi
musafir hote hai
agar koi ye sawal kare
ki shara'i musafir hone
ke liye to 15 din se kam
theherne ki muddat
batayi gayi hai aur
hamare haaji sahiban
to ba'az auqat 40 din
bhi theher kar aate
hai to ye kese musafir
hue? to iska jawab
durre mukhtar aur
fatawa alamgiri ke
is mas'ale se arz
karne laga hai
chunanche manqul
hai :
jisne iqamat ki niyyat
ki magar uski halat
batati hai ki 15 din na
theher sakega to niyyat
sahi nahi maslan hajj
karne gaya aur zilhijja
ka mahina shuru ho
Jane ke bavajud 15
din makka muazzama
me theherne ki niyyat
ki to yeh niyyat bekar
hai ki jab hajj ka irada
kiya hai to 15 din usko
milenge hi nahi ki 8
zilhijja Mina sharif
aur 9 zilhijja ko arafat
zarur jayega fir itne
dino tak ( ya'ni 15 din
masalman) makka
muazzama me q kar
theher sakta hai?
ha agar Mina sharif
se wapas aakar
iqamat ki niyyat kare
to sahi hai!!
(durre mukhtar jild
2 peg. 729,
fatawa alamgiri jild 1
peg. 140)
jabki vaqeyi 15 din
ya usme ziyada din
makka muazzama
me theher sakta ho
agar zanne galib ho
ki 15 din ke andar
andar Madina
munavvara ya vatan
ke liye ravana ho
jayega to Ab
musafir hai!!
SUWAL
(56) : AAPNE BATAYA KI
JO HAJI PAK VE HIND
SE JATE HAI UN PAR
QURBANI VAJIB NAHI
TO HAJI JO VAHA
QURBANI KARTE HAI
WEH KOUNSI HOTI HAI?
JAWAB
dasvi zilhijja ko badhe
shetan ko kankari marne
ke ba'ad qurban gah
tashrif lakar Jo qurbani
karte hai ye wo qurbani
nahi Jo bakraeid me
hua karti hai balki
ye hajj ke shukrane
ki qurbani hai Jo
qarin aur mutmatte
par wajib hai chahe
wo faqeer hi q na ho
aur mufrid ke liye
mustahab hai chahe
weh gani (maldar)
hi q na ho!!
aur aapne Jo suwal
me kaha ki pak ve hind
ke logo par vaha bakraeid
ki qurbani wajib nahi"
yeh mutlaqan nahi
kaha jayega balki
mas'ala yeh hai ki
muqim maldar haji
par bakraeid ki
qurbani wajib hai
musafir haji par nahi
agarche maldar ho
Ab khwah wo haji
pak we hind se talluk
rakhta hai ya dunya ke
kisi aur mulk se!!
bakraeid ki qurbani
ka harame pak me
hona zaruri nahi!!
albatta din ka khayal
rakhna hoga ki jaha
qurbani ho rahi hai
vaha bhi aur jaha
qurbani vala hai vaha
bhi dono ayyame
qurbani ho!!
( bahrur raiq jild 2
peg. 606)
2 Post a Comment
Click here for Post a CommentSuna hai k qurbani ka gosht dhona nahi chahiye....?
Replybhai esi bat nhi hai Agar gosh nahi doge toh uske Khun laga hua Hoga ya Kuch Na jasat Lagi Hui hogi aur Khun j jo hai peshab ki tarah napak hai Aur dhoke saaf karke hi pakaya kare
ReplyDOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon