NAMAZE JANAZA KA TARIKA (HANAFI) POST NO 17-18-19

NAMAZE JANAZA KA TARIKA ( HANAFI)

==============================

Post # 17

Continued...



JANAZE KI POORI JAMA'AT NA MILI TO?  


Masbook (yaa'ni jiski baa'z takbiren faut ho gayi ho) wo apni baaki takbiren Imaam ke salam fairane ke baa'd kahe aur agar ye andesha hai ki dua wagaira padhega to poori karne se qabl log Janaze ko kandhe tak utha lenge to sirf takbiren kah le aur dua wagaira cchor de.

Ref: Gunyatul Mutmali, S: 537

Chauthi4 takbir ke baa'd jo shakhs aaya wo (jab tak Imaam ne salam nahi faira) shamil ho jaye aur Imaam ke salam ke baa'd teen3 baar "Allahu Akbar" kahe (Ref:📙 Durre Mukhtar Ma' Raddul Muhtar, J: 3, S: 136) fir salam fair de.


To be cont'd..............

Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 387, Maktabatul Madina, Gujarat

Namaze Janaza Ka Tarika (Ha-nafi)
==============================

Post # 18

Continued...



PAGAL YA KHUDKHUSHI WALE KA JANAZA

Jo paidaaishi Pagal ho ya baalig hone se pahle Pagal ho gaya ho aur usi Pagal pan me maut wake'a huyi to uski Namaze Janaza me na baalig ki dua padhenge.

Ref: Makhuz Az Hashiya Al Tahtawa, S: 587

Jisne Khudkhushi ki uski Namaze Janaza padhi jayegi.

Ref: Durre Mukhtar, J: 3, S: 108


To be cont'd..............

 Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 387, Maktabatul Madina, Gujarat



Post # 19

Continued...




MURDA BACHE KE AHKAMAT

Musalman ka baccha zinda paida hua yaa'ni aksar hissa bahar hone ke waqt zinda tha fir mar gaya to usko gusl wa kafan denge aur uski Namaz padhenge, warna use waise hi nahla kar ek kapde me lapet kar dafn kar denge. Iske liye Sunnat ke mutabik gusl wa kafan nahi hai aur Namaz bhi uski nahi padhi jayegi. Sar ki taraf se askar ki mikdaar sar se lekar seene tak. Lihaza uska sar bahar hua tha aur cheekhta tha magar seene tak nikalne se pahle hi faut ho gaya to uski Namaz nahi padhenge. Paaun ki zaanib se aksar ki mikdaar kamar tak hai. Baccha zinda paida hua ya murda ya kaccha gir gaya uska naam rakha jaye aur wo Qiyamat ke din uthaya jayega.

Ref: Durre Mukhtar, Raddul Muhtar, J: 3, S: 152


To be cont'd..............

Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 388, Maktabatul Madina, Gujarat

✒ Author : Hazrat A’llama Mualana Abu Bilal Muhammad Ilyaas Attar Qadiri Razavi    

 Published By : Makataba-tul-Madina, Gujarat


(Agar likhne me kisi bhi jagah kami beshi paye to hamari Islah farmaye, Aiye Ilme Deen Seekhen....1 - Group +919867862120)

http://www.ruhanighareluilaj.blogspot.com/

Previous
Next Post »

DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon

Thanks for your comment