NAMAZE JANAZA KA TARIKA-(HANAFI)
==============================Post # 15
Continued...
GAIBANA NAMAZE JANAZA
Mayyit ka saamne hona zaroori hai, gaibana namaze janaza nahi ho sakti.
Ref: Durre Mukhtar wa Raddul Muhtar, J: 3, S: 123
Mustahab ye hai ki Imaam mayyit ke seene ke saamne khada ho.
Ref: Maraqi Al Falaah ma'a Hashiya Al Tahtawa, J: 583
CHAND JANAZON KI IKHATTI NAMAZ KA TARIQA
Chand janaza ek sath bhi padhe ja sakte hai isme ikhtiyar hai ki sab ko aage peeche rakhe yaa'ni sab ka seena Imaam ke saamne ho ya kitaar band ho. Yaa'ni ek ke paau ki seedh me dusare ka sirhana aur dusare ke paau ke seedh me teesare ka sirhana (yaa'ni isi par kiyaas kijiye)
Ref:Bahare Shari'at, H: 4, S: 157, Madinatul Murshid Bareli Sharif
To be cont'd..............
Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 385-386, Maktabatul Madina, Gujarat
Post # 16
Continued...
JANAZE ME KITNI SAFE HO?
Behtar ye hai ki Janaze me teen3 safe ho ki Hadise Paak me hai, jiski namaz (janaza) teen3 safon ne padhi uski magfirat ho jayegi.
Ref:Jame'a Tirmizi, J: 1, S: 22
Agar kul saat hi aadami ho to ek imaam ban jaye ab pahli saf me teen3, khade ho jaye dusari me do2, aur teesari me ek.
Ref: Gunyatul Mutmali, S: 541
Janaze me pichli saf tamam safon se afzal hai.
Ref: Durre Mukhtar wa Raddul Muhtar, J: 3, S: 131
To be cont'd..............
Book : Namaz Ke Ahkam (Hindi), Page No.: 386, Maktabatul Madina, Gujarat
Author : Hazrat Allama Mualana Abu Bilal Muhammad Ilyaas Attar Qadiri Razavi
Published By : Makataba-tul-Madina, Gujarat
(Agar likhne me kisi bhi jagah kami beshi paye to hamari Islah farmaye, Aiye Ilme Deen Seekhen....1 - Group +919867862120)
http://www.hindimesawaljawab.blogspot.com
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon