ILME DOCTOR KI DILCHAZB HIKAYAT
HAZRATE ALI bin hussain vaaqib (رَضِیَ اللّٰهُ تَعَالٰی عَنهُ) se ek nasrani (creschan) doctor ne kaha tumhare deen me ilme tib bilkul nahi lihaza tumhara deen naakis hai ! unhone jawab diya ; hamare piyare Allah (عَزَّوَجَل) ne sare ka sara ilme tib qurane paak ki is aadhi ayat ( ڪُلُواوَاشرَبُواوَلاَتُسرِفُوا) ( tarjama kanzul imaan : khao Aur piyo Aur had se na bhado (para 8, suratul a`rab 31 ) me bayan farma diya hai! woh doctor bola tumhare nabi ne bhi kya kahi ilme tib ka tazkira kiya hai? farmaya: tabibo ke tabib Allah (عَزَّوَجَل) ke habeeb haeebe labeeb (صَلَّی اللّٰهُ تَعَالٰی عَلَیهِ وَسَلَّم) ne chand lafzo me sara tib jama farma diya hai , irshad farmaya : meda saari bimariyo ka ghar Aur parhez sare ilajo ka sar hai , badan ke har hisse ko uska haq do ! yeh sunkar nasrani(creschan) doctor heraan hokar kehne laga : vaqei tumhara quraan Aur tumhare rasool ne jaalinus (jo ki dunya ka sabse badha tabeeb guzra hai ) ke liye koi mas`ala chorda hi nahi,sab kuch bayan kar diya!
(tafsire naimi para :8 ,safha 393)
BIMARIYO SE BACHNE KA LA JAWAB NUSKHA
sunnat ke mutabik khaye piye Aur agar nafs ke mutaalbe par jo hath me aya woh khaya maslan peeze paranthe Aur kabab samose vagera der se hazam hone wali mede me na thoste rahe AUR freez ka ek dam thanda pani Aur thandi thandi cola botale pet me na dalte rahe to(اِن شاءَاللّٰه عَزَّوَجَل) Aap ka meda durust rahega Aur jab hajma sahi hoga to na kabz ho na pet me gand jama ho na badna ka beja vajn bhade na pet ki bimariyo ke sabab bimariyan janam len ki baqole atibba takriban 80 fisad bimariyan pet ki kharabi ke bais hoti hai ! yaqinan meda bimariyon ka ghar Aur parhez dawaon ka sar hai!
so dawa ka ek ilaj parhez hai
related post> khun test Aur uskii Ahtiyate
TAVEEL ARSE JAWAN REHNE KA
NUSKHA
jo khane pine me Ahtiyat nahi Apnate Aur khub dat kar khate hai woh goya paise kharch kar ke bimariyan kharid farmate Aur umuman sakht taklif uthate Aur Aakhir kaar pachtate hai ! kam khane ki hikmate to science daan bhi tasleem karte hain chunache ek khabar mulaiza ho : tehkeek ke mutabik America me kam khane wale cuhe Aur kutte teen guna ziyada Arsa zinda rahe ziyada na khane se insan jald budha nahi hota , balke taveel arse tak jawan nazar aata hai !``
(roznama Aagaz, 5december 2007)
related post>gere doctor ko ilaj me hath dalna haram hai
4 Post a Comment
Click here for Post a Commentpls comment karke bataye ye post kesi lagi
ReplyALLAH Pak Ap Ko Jaza ee Khair Ata Farmaye...
Replyجزاك الله خيرا shehzar bhai
ReplySorry typing mistake se naam galat ho gaya
Replyshehzad bhai
DOSTO MENE YEH BLOG SAB KI HELP KE LIYE BANAYA HAI TAKE IS BLOG ME POST PADKE FAYDA HASIL KAR SAKE IS BLOG ME RUHANI ILAJ GHARELU ILAJ SATHI HI SATH ISTEKHARA KHAWABO KI TABIR KA BHI BATAYA JAYEGA AUR DEENI MASAIL BHI BATAYE JAYENGE ConversionConversion EmoticonEmoticon